Insaan Ko Musaalsaal Kaam Kay Baad Aaram Ki Shadeed Zaroorat Hoti Hay. Doctors Ka Kehna Hay Kay Atleast 5 Hour Ki Raat Ko Neend Leena Sehaat Kay Liya Bauhat Zaruri Hay.

UK Kay Civil Servants Per Ke Gaei Research Main Yeh Baat Samnay Aei Kay Woh Kitnay Hours Ki Neend Laitay Hain.

Iss Research Kay Silsilay Main 8000 Participants Say Neend Say Mutaliq Sawal Kiye Gaey.

Scientist Aur Researchers Ka Kehna Hay Raat Ki Neend Apko Bauhat Si Bemariyun Say Bachati Hai. Neend Poori Honay Say Demag Sahi Kaam Kerta Hay Aur Yaadast Bhi Taiz Rehti Hay.

Jaldi Aur Waqt Per Sonay Ka Insaan Kay Mood Per Bhi Asar Parta Hay Aur Jism Ka Nizaam Bhi Theak Rehta Hay.

Research Main Bataya Gaya Kai 50 Saal Ki Age Kay Jo Afraad 5 Saal Ya Uss Say Kaam Hours Ki Neend Laitay Thay Un Main 7 Hours Taak Ki Neend Leenay Walay Afraad Kay Muqablay Main Beemariyun Ka Imkaan 30 % Ziada Hota Hay.

50 Saal Ki Age Main Kam Neend Lenay Say Maut Kay Ziada Imkaanaat Bhi Rehtay Hain. Aur Study Kay Doraan Yeh Bhi Daikhnay Main Aya Kai Yeh Deaths Khatarnaak Beemariyun Ki Waja Say Hoein.

University College London Aur Paris City University Kay Experts Nay Bataya Kay 7 Say 8 Hours Ki Neend Zaroori Hoti Hay.

شیئر

جواب لکھیں