T20 World Cup Main Sri Lanka Kay Baad Agla Shikar Bana Hay West Indies. Pehlay Din Group A Main Sri Lanka Ko Namibia Nay Shikast Di Thi To Doosray Roze Group B Main West Indies Scotland Say Haar Gaya Hay.

Ye Hobart Main Khela Gaya First Round Ka Match Tha Jis Main Donon Teams Pehlay Bowling Karna Chah Rahi Theen. Toss Jeeta West Indies Nay Aur Khushi Khushi Scotland Ko Khelnay Ki Dawat Day Di. Laikin Scotland Nay Yahan Super Say Bhi Ooper Perform Kia, 160 Runs Banaey Aur Phir West Indies Ko Allout Kar Kay Upset Kar Dia.

Scotland Ki Taraf Say Sub Say Behtareen Performance Di Opener George Munsey Nay. Jinhon Nay 53 Balls Par Not Out 66 Runs Banaey. Michael Jones Kay Sath Unhon Nay Powerplay Main Hi Scotland Ko 54 Runs Tak Puhancha Dia Tha, Wo Bhi Baghair Kisi Wicket Kay Nuqsan Kay. Toss Harnay Kay Baad Is Say Behtar Start Ho Nahi Sakta Tha.

Aanay Walon Main Calum Macleod Ki 14 Ball 23 Runs Nay Bhi Apna Kaam Dikhaya. Scotland Last Over Main Munsey Kay 3 Fours Ki Waja Say 160 Runs Kay Competitive Total Tak Puhanch Gaya.

Jawab Main West Indies Nay Jitna Achha Start Lia Tha, End Utna Hi Frustrating Tha. Powerplay Main 53 Runs Bananay Kay Baad To Unhain Jeetna Chahiye Tha. Aik Behtar Aur Experienced Side Honay Ki Waja Say Un Kay Paas Advantage Tha, Jo Zaya Kar Dia.

Scotland Kay Liay Kaam Dikhaya Spinners Nay. Unhon Nay Pehlay Runs Rokay, 10 Overs Tak Sirf 69 Runs Thay. Pressure Barha Aur Phir 4 Overs Main 4 Wickets Aur Gir Gaeen. Mark Watt Aur Michael Leask Kay Sath Sath Brad Wheal Nay Bhi Apna Kaam Dikhaya. Watt Nay Sirf 12 Runs Day Kar 3 Wickets Hasil Keen, Doosray End Say Leask Nay 15 Runs Day Kar 2 Khilarion Ko Out Kia. Wheal Nay Bhi 2 Shikar Kiay.

Scotland Kay Fielders Nay Bhi Zabardast Kaam Dikhaya Aur Kamal Catches Liay.

West Indies Ki Taraf Say Kuchh Resistance Jason Holder Nay Dikhai. Warna Lower Middle Order Main To Koi Double Figures Main Bhi Nahi Puhancha. Holder 33 Balls Par 38 Runs Banay Kay Baad 19th Over Main Out Huay.

Ab T20 World Cup Kay First Round Main Chhoti Teams Ka Raaj Hay. Group Namibia Aur Netherlands Top Par Hain To Group B Main Scotland Sub Say Ooper Hay. Dekhtay Hain Aagay Kia Hota Hay?

شیئر

جواب لکھیں