Pakistan Main In Dinon Early Election Ka Mutalba Zoar Pakar Raha Hay. Siyasi Para High Hay Aur Is Surat-e-Haal Kay Peechay Bar Bar America Ka Naam Sunai Deta Hay. Pakistan Main Tou Filhal Election Ka Koi Imkaan Dikhai Nahi Deta Lekin America Main US Midterm Elections 2022 Zaroor Ho Rahay Hain.

America Main Wast Muddati Intikhabat 8 November Ko Hongay Taham Pre-Election Voting Main Ab Tak 2 Crore 14 Lakh Say Ziada Log Haq-e-Raye Dahi Istemal Kar Chukay Hain. Akhir Ye Midterm Elections Hain Kya? Aur Kyun Zarori Hain?

Midterm Elections Sadarti Muddat Kay Darmiyan Main Hotay Hain Yani Sadarti Intikhabat Kay Dou Saal Bad Aur Aglay Intikhab Say Dou Saal Pehlay. In Elections Main Aam Tor Par Turnout Kam Hota Hay Lekin Is Ka Matlab Ye Nahi Kay In Elections Ki Ehmiyat Kam Hay. Agar Ye Kaha Jaye Kay Midterms US President Ki Aglay Dou Saal Ki Karkardagi Aur Re-Elect Honay Par Asar Andaz Hotay Hain Tou Ghalat Nahe Hoga.

Pakistan Kay Bar Aks America Main Sadarti Nizam Raij Hay Aur President Hi Sarbarah-e-Mumlikat Hay. Sadar Ko Har 4 Saal Baad Muntakhib Kiya Jata Hay Lekin Congress Arkaan Kay Sath Muamla Mukhtalif Hay. America Main Congress Senate Aur House Of Representative Ko Kehtay Hain. Senate Kar Members 100 Aur House Kay 435 Hain. Midterms Main Senate Kay One Third Aur House Kay Tamam Arkaan Ka Intikhab Hota Hay. Congress Kay Elawa Governors, State Representatives Aur Local Candidates Kay Liye Bhi Voting Hoti Hay.

Midterms Ko Sitting President Ki Karkardagi Kay Jaizay Kay Tor Par Daikha Jata Hay Aur Yeh Elections President Ki Powers Ko Kam Ya Ziada Kar Saktay Hain. Aisa Lagta Hai Kay Hukumati Jamat Hamesha Hi Midterms Main Apni Taqat Khoti Hay. Log Hukumtai Performance Par Congressmen Chuntay Hain Aur Local Candidates Ko Ilaqai Behtri Dekh Kar Vote Detay Hain.

Congress Main Majority Ka Minority Ya Minority Ka Majority Main Tabdeel Hona In Elections Main Possible Hota Hay. Farz Karen Agar President Kay Pehlay Dou Saal Main Congress Ki Majority Party Opposition Ho Tou President Ko Powers Exercise Karnay Aur Qanoon Pass Karwany Main Mushkilat Hoti Hain. Election Main Kiye Gaye Waday Puray Karna Bhi Masla Ban Jata Hay. Ab Agar Midterm Main President Ki Partry Majority Hasil Kar Lay To Nizam-e-Hukumat Chalana Asan Ho Jata Hay. Aglay Intikhabat Main President Kay Re-Elect Honay Kay Imkanat Bhi Roshan Ho Jatay Hain. Isi Tarah Agar Midterms Kay Baad Opposition Congress Ka Control Hasil Kar Lay Tou President Ki Mushkilat Main Bay-panah Izafa Ho Jata Hay.

شیئر

جواب لکھیں