Pakistan Ne Aik Saal Ke Dauran Dunya Ke 44 Mulkon Ko 15 Arab 85 Crore Rupay Ka Tobacco Aur Cigarettes Export Kiye.

Fiscal Year 2021-22 Main 44 Mulkon Ko 2 Crore 34 Lakh Kilo Tobacco Export Kiya Gaya.

Pakistan Se Tobacco Import Karnay Walay Mulkon Main America, Switzerland, Germany, Italy, Australia, South Africa Jesay Mulk Bhi Shamil Hain.

Sab Se Ziyada 51 Lakh 94 Hazar Kilo Tobacco UAE Ko Baramad Kiya Gaya.

Saudi Arab, UAE, Bahrain Aur Qatar Ko Tayyar Cigarettes Bhi Export Ki Gayeen.

Saudi Arab Ko Taqreeban 1 Arab Rupay Maliyat Ki 80 Crore Cigarettes Baramad Ki Gayeen.

Bahrain Ko 60 Crore, Qatar Ko 21 Crore Aur UAE Ko 11 Crore Cigarettes Export Ki Gayeen. Yani haum keh saktay hain kay bhalay baqi export nichay jarahi hon, tambko aur cigarette ki export oopar jarahi hain.

شیئر

جواب لکھیں