Hum Pakistani Mushkil Situation Main Koi Umeed Talash Kartay Hain To Kehtay Hain ’92 Main Bhi Aisa Hi Hua Tha.’ Laikin Australia Main Jab Kisi Anhoni Ki Khauf Ho To Yehi Kaha Jata Hay ’92 Main Bhi Aisa Hi Hua Tha.’

Ab T20 World Cup Sar Par Hay Aur Australia Ko Anjana Sa Khauf Hay, Kiyunke Halaat Kuch 92 Jaisay Hi Hain.

Australia Nay 1987 Main World Cup Jeet Kar Sab Ko Hairan Kardia Tha, Laikin 1992 Main Home Ground Par Is Title Ko Defend Nahi Kar Saka. Tayari Main Hi Itna Thakk Gaya Ke Main Tournament Ka Aik Kay Baad Doosra Match Hara Aur Ho Gaya Bahar.

Ab 30 Saal Baad Bhi Kuch Yahi Nazar Aa Raha Hay. Australia Nay Last Year Surprisingly T20 World Cup Jeet Lia Tha. Aur Ab Is Title Ko Apnay Home Ground Par Defend Karna Ja Raha Hay. Laikin Team Buri Tarah Thaki Hui Hay. Aur Ye Baat Hum Nahi, Khud Captain Aaron Finch Keh Rahay Hain.

Last 6 Say 8 Weeks Main Australia Ka Schedule Buhat Packed Raha Hay. 53 Days, 15 Matches Aur 12 Flights. Waisay Hi Jaisay World Cup 92 Say Pehlay Aik Busy Season Khela Tha. India Kay Khilaf 5 Test Matches Aur Phir Tri-Angular Series Main 10 Muqablay.

World Cup Jeetna Mushkil Hota Hay, Laikin Usay Defend Karna To Is Say Bhi Ziyada Muskhil Hay.

To Aik “Thaki Hui Team” Jo World Cup Say Pehlay England Say Hari, Aur Phir Warm-Up Main Jis Tarah India Say Shikast Khai, Lagta Hay Us Kay Liay World Cup Mushkil Ho Jaey Ga.

Khair, 30 Saal Bohat Ziada Waqt Hota Hay, Is Main Buhat Kuch Badal Chuka Hay, Balkay T20 Ki Waja Say Cricket Hi Tabdeel Ho Chuki Hay. Is Liay Dekhna Hoga Ke History Repeat Ho Bhi Sakay Gi Ya Nahi?

شیئر

جواب لکھیں