World Health Organization Nay Khabar Daar Kiya Hay Kay Sheriyun Ko Physical Activities Barha Ker Khudh Ko Sehat Mand Rakhna Hoga.
Aalmi Idara Sehat (WHO ) Nay Global Status Report Of Physical Activity 2022 Jaari Kerdi Hay.
Aalmi Idara Sehat Kay Mutabiq Physical Activity Nahe Karnay Ki Waja Say Salana $27 Billion Ilaaj Per Kharch Karna Hongae.
Report May Bataya Gaya Kai Saal 2020 Se 2030 Tak Ye Kharcha $300 Billion Hojaye Ga.
WHO Ne Hukumaton Per Zoar Diya Hay Kay Footpaths, Cycling Tracks, Parks Bananay Hon Gay Warna Sehat Kay Hawalay Say Masail May Izafa Hoga.
Moujuda Surat e Haal Per WHO Ka Kehna Tha Kay Dunya Kay 50 % Mumalik Nay National Physical Policy Banai Hoi Hay,Lekin Sirf 20 % Mumalik Main Hi Yeh Operational Hay.30 % Countries Main Physical Activity Guidelines Moujud Hain.