Author: Fahim Zaman Khan

Twitter Mobayyana Tor Par Subscribers Ke Liye Tasdeeqi Check Marks ( Blue Ticks ) Kay Rule Out Main Takheer Kar Raha Hai. Yeh Issliye Horaha Hay Kion Kay Social Media Network Tuesday Ko US Mid Term Elections Ke Mumkina Asraat Say Bachney Ki Koshish Kar Raha Hai. Elon Musk Ki Malkiat Social Media Company ( Twitter ) Nay Monday Ko Apni Subscription Service Twitter Blue Kay New Version Ko Introduce Karwaanay Ka Mansoobah Banaya Tha. App Up Date Note Kay Mutabiq, Firm Nay Saturday Ko Nai Khususiyaat Ki Jaanch Shuru Kar Di. Twitter Ne Fori Tor Par Iss Hawalay Say…

مزید پڑھیں

Amazon Nay Aap Kay Khawab Ko New Face Dena Shuru Kerdia Hay. E-Commerce Main Naam Bananay Walay Saqdain Shaikh Nay Raftar Say Baat Kertay Hoay Bataya Kay Amazon Main Pakistan Kay Youth Issliye Nakaam Horahay Hain Kion Kay Short Time Main Nateja Chahtay Hain, Taham Aisa Nahi Hota Aur Iss Main Waqt Lagta Hay.

مزید پڑھیں

Dubai Ka Visa Facial Recongnition Ki Madad Say Ab Ghar Baithy Cell Phone Per Mil Sakay Ga. Dubai Kay Visa Kay Liye Embassay Janay Ki Zaroorat Nahi Rahay Gi. Cell Phone Kay Zariye Visa Kay Liye Apply Kiya Jai Ga. GDRFA Dubai Ab Technology Ko Istemaal Kertay Hoay Visa Ko Approve Kerain Gay. Iss Tecnology Say Facial Recognition Kay Zariye Visa Kay Liye Apply Kernay Walay Ka Sara Data Record Main Ajaei Ga. Iss Silsilay Main GDRFA Dubai Nay Application Bhi Launch Kerdi Hay Takay Passengers Khudh Ko Iss Per Register Kerwa Sakain.

مزید پڑھیں

Kia Pakistan Technology Kay Maidaan Mai Peechay Reh Jaei Ga? Yeh Sawaal Iss Liya Utha Hay Kion Kai Pakistan Main 5G Network Delay Kerdia Gaya Hay. Imran Khan Ki Government Main December 2022 Tak 5G Technology Mulk Main Launch Kernay Ka Ilaan Kiya Gaya Tha Leken Aab Iss Technology Ki Launching June 2023 Taak Chali Gai Hay.

مزید پڑھیں