Tehreer : Ahsan Ahmed

Main Nay Jis Waqt Pehli Baar Suna Kay Fawad Khan The Legend Of Maula Jatt Main Maula Ka Kirdaar Ada Karnay Laga Hai To Mehsoos Hua Kay Jaisay Pakistan Film Industry Aik Seerhi Aur Neechi Utrnay Jarahi Hay.

Kahan 2014 Ki Film Khoubsurat Ka Tehzeeb Yafta Sober Shehzada Aur Kahan Gandasy Kay Zariye Totay Totay Karnay Walay Wehshi Jatt Ka Role. Nah Surat Waisi, Na Jalal, Na Deal Dole. Mujhe Laga Kay Yeh Sirf Fawad Kay Brand Ko Istemaal Karnay Ki Aik Bhoundi Koshish Hai Jis Say Fawad Kay Sath Sath Maula Jatt Ki Legacy Bhi Buri Tarha Muta'sir Hogi.

Taham, Iss Film Ko Daikh Kar Main Hairan Reh Gaya Kay Fawad Aur Bilal Lashari (Producer) Ka Decision Kitna Durust Tha. Lahore Ki Burger Class Kay Iss Banday Nay Mujhe Pehli Baar Uss Punjab Say Milwaya, Jis Kay Khaiton Ki Khushbu Ko Main Punjab Main Reh Kar Bhi Kabhi Theek Say Mehsoos Nah Kersaka Tha, Jis Kay Culture Ko Main Sirf Jald Baith Janay Wala Jhaag Samjhta Aaya Tha. Ya Yun Keh Lijiye Kay Jis Tehmad Ko Main Zindagi Bhaar Istemaal Karnay Say Katrata Raha, Fawad Nay Bari Aasani Say Is Ko Istemaal Kar Kay Yeh Guthiyan Suljha Deen.

Nasir Adeeb Sahib Nay Jis Tarha Say Fawad Kay Liye Dialogues Ko Tarteeb Diya Aur Taweel Makalmon Say Ijtinab Kya, Mairay Nazdeek Yeh Un Ka Karachi Aur Urdu Bolnay Walon Par Buhat Bara Ahsaan Hay. Kahani Aur Filmbandi Kay Hawalay Say Picture Nihayat Umdah Thi Lekin Kuch Baton Nay Mujhe Mayoos Kya. Maslan Ali Azmat Ki Casting, Najane Yeh Kis Ka Faisla Tha Aur Uski Kya Tuk Thi. Ali Nay Achi Khasay Likhay Hoay Mukalmon Ko Apni Over Acting Aur Un-Synced Body Language Say Barbaad Kerdiya. Ali Azmat Ki Ankhen Aur Chehra Bunyadi Tor Per Aik Hanstaa Hua Chehra Hay Jisay Woh Musalsal Naraaz Dikha Kar Sasti Chori Kartey Rahay. Mairay Khayaal Main Yeh Kirdaar Agar Nayyar Ejaaz Kay Hissay Main Aata Tou Behtar Hota.

Isi Tarha Main Nay Zaati Taur Par Film Main Sohail Ahmed, Shaan, Moamar Rana, Firdous Jamal Aur Qawi Sahib Ki Kami Shiddat Say Mehsoos Ki. Jab Priyadarshan Mukammal Taur Per Gaon Dehaat Kay Pas-Manzar Main Bani Malamaal Weekly Jaisi Comedy Film Main Oom Puri, Shakti Kapoor , Rajpal Yadav, Paresh Rawal Aur Israni Jaisay Saf-E-Awwal Kay Adakaron Ko Aik Sath Cast Kar Saktay Hain To Saqafat Se Is Qader Qareeb Maula Jatt Mein Hum Kyun Nahi, Jabkay Mojooda Waqt Mein Hamari Industry Ko Thuki Hui Adakari Aur Manjhi Hui Dialogue Delivery Ki Ashad Zaroorat Bhi Hai .

Meri Nazar Main Bilal Lashari Costumes Aur Art Direction Kay Mamlay Main Bhi Nisbatan Bad Qismat Rahay. Agar Hum Guzashta 10 Saal Say Dubbed Turkey Dramay Ko Daikhnay Kay Baad Bhi Costume Designing Nahe Seekh Sakay Tou Hum Nay Phir Kya Seekha?

Nayyar Ejaaz Ki Belt Main Lagey Golden Buckle Aur Jashan Kay Scene Main Shehzaaday Ki Chinese Jaamawar Ki Chamchamati Sherwanyan Daikh Ker Mujhe Aaj Say 2 Dahaiyon Pehlay Banay Dramay Aakhri Chattaan Aur Mohammad Bin Qasim Kay Kapray Ziyada Behtar Mehsoos Hoay.

Iss Kay Sath He, Film May Extra Kirdaar Kay Costumes Bhi Theak Nahe Lag Rahay Thay Aur Sirf Aik Rang May Hi Kapra Laiker Saab Ko Aik Jaisay Kapray Pehna Ker Bhi Ghareeb Dikhana Bay Tuka Lag Raha Tha.

Iss Film Ki Jaan Yani Gandasay Say Fawad Khan Ka Taaruf Bhi Barray Hi Bhonday Andaaz Main Kia Gaya. Purkhon Ki Haveli Ki Tooti Phooti Boseedah Deewarain To Dikha Deen Lekin Abba Jee Kay Hathon Say Deewar Per Latkaya Gaya Gandasa Tas Se Mas Nahi Hua. Ye To Hollywood Ki Film Thor Kay Hathoray Kay Sath Bhi Nah Hoa Tha.

Film Kay Aik Aur Scene Nay Mujhae Sakht Koft Main Mubtala Kya. Woh Scene Tha Noori Kay Hotel Main Dakhlay Ka, Jis Waqt Lashari Sahib Nay Laraztay Hoay Darwazay Ko Band Kiya. Kuch Dair Tak Mujhay Laga Kay Iss Darwazay Ko Ya To Koi Kholay Ga Ya Taur Day Ga Laikin Aisa Nahi Hua.

Aisay Kai Aur Scene Bhi Thay Jin Ki Bandishen Chust Ki Ja Sakti Theen, Lekin Bad Qismati Say Aisa Bhi Nahi Hosaka. Jab Aap Koi Buhat Achi Cheez Daikh Rahay Hon Aur Aisa Tajurbah Ho Raha Ho Tou Barri Bay Chaini Mein Izafah Hojata Hay.

Hamza Ali Abbasi Aur Gohar Rasheed Nay Yeh Saabit Kerdiya Kay Woh Dunya Ki Kisi Bhi Barri Movie May Villain Ka Role Ada Ker Saktay Hain. Humaima Malik Ka Kirdaar Aur Andaaz 2014 Main Ban'nay Wali Hollywood Film 300 Rise Of An Empire Ki Villan Artemisia Say Xerox Copy Mara Gaya. Yeh Kirdaar Eva Green Nay Jis Khoubsurti Say Nibhaya, Humaima Nay Iss Hi Khoubsurti Say Us Ko Copy Bhi Kiya Jis Per Un Kay Liay Daad To Banti Hay.

Baqi Kisi Adakar Ya Adakara Ki Koi Ghair Mamooli Performance Ka Tazkara Iss Hawalay Say Likhnay Kay Liye Nahi Banta.

Mujhe Umeed Hay Kay Jis Tarha Kamran Lashari Sahib Nay Apnay Farzand Ki Film Kay Liye Wild City Kay Darwazay Kholay Aur Inhain Aasaniyan Muhayya Kein, Deegar Filmsazon Ko Bhi Yeh Mewa Chakhnay Ko Miley Ga.

Mai Aik Baar Phir Fawad Ko Daad Dunga Kai Un Honay Punjabi Zabaan Say Ashanai Na Hotay Hoay Bhi Maula Kay Kirdaar Main Nai Rooh Phoonki.

Kash Sultan Rahi Sahib Aaj Hayaat Hotay To Fawad Ka Maatha Choom Kar Kehtay, Shawa Oye Jawan! Burger Maula, Aaj Macha Gaya Raula!!!

شیئر

جواب لکھیں