Pakistan Kay Liye Bari Khuskhabri Aa Gayi, Pakistan 4 Saal Baad FATF Grey List Say Nikal Gaya. FATF Kay Saddar T Raja Kumar Nay Press Conference Main Aitraf Kia Kay 2018 Say Grey List Main Rehnay Walay Pakistan Nay Bari Mehnat Kay Baad Money Laundering Aur Insidaad-e-Dehshat Gardi Funding Kay Muamlay Par Kamzorion Par Qaboo Paya Aur 34 Nikaat Par Amal Daraamad Mukammal Kar Liya .

Raftar Bharne Do
FATF President TJ Kumar

Un Ka Kehna Tha Kay Pakistan Ab Money Laundering Aur Dehshat Gardi Kay Liye Funding Par Kamyabi Say Kaam Kar Raha Hay. Ye Islahat Pakistan Aur Region Kay Liye Achi Hain. Lekin Is Ka Matlab Ye Nahi Hay Kay Inhen Mazeed Kaam Karne Ki Zaroorat Nahi Hay.

FATF Ailamiay Kay Baad PM Sehbaz Sharif Nay Qaum Ko Mubarakbad Di. Unhon Nay Tweet Main Kaha “Pakistan Ka FATF Grey List Se Nikalna Hamaray Azm Aur Barson Say Jari Musalsal Koshishon Ka Izhaar Hay”

Aik Aur Tweet Main Unhon Nay Kaha Wazeer-e-Kharja Bilawal Bhutto Zardari, Army Chief General Qamar Javed Bajwa Aur Un Ki Team Aur Tamam Siyasi Jamaaton Ko Mubarakbad Deta Hun. Sab Nay Pakistan Ko Grey List Say Nikalnay Kay Liye Muttahid Ho Kar Kam Kiya.

Sadr-e-Pakistan Arif Alvi Nay Bhi Qaum Ko Mubarakbad Di. Tweet Main Likha Hukoomat, Idaron Aur Shakhsiyat Ki 4 Saal Anthak Mehnat Kay Nateejay Main Ye Kamyabi Mili. Is Ka Sehra Un Tamam Logon Ko Jata Hay Jinhon Nay Is Par Bohat Mehnat Ki.

Foreign Minister Bilawal Bhutto Zardari Nay Twitter Par Mubarikbad Detay Huway Khabar Share Ki Kay Pakistan Ko Grey List Se Baqaida Tor Par Nikaal Diya Gaya Hay.

FATF Grey List Say Niklnay Par PTI Kay Rehnumaon Nay Bhi Radd-e-Amal Diya. Hammad Azhar Aur Imran Ismail Nay Kaha  Grey List Say Niklnay Ka Credit Imran Khan Aur Un Ki Hukumat Ko Jata Hay.

Babar Awan Nay Aik Tasweer Share Kar Kay Likha Ye Us Din Ki Hay Jab Main Nay Imran Khan Ki Hidaayat Par FATF Say Mutaliq Bill Parliament Main Paish Kiya Tha.

شیئر

جواب لکھیں