Wazeer Khazana Ishaq Dar Nay Keh Diya Hay Kai Pakistan Non-Paris Club Kay $27 billion Kay Loan Ko Reschedule Keraye Ga. Loan Per Default Honay Ka Koi Khatra Nahe Hay.

Ghair Mulki Khabar Agency Ko Interview Daitay Hoay Wazeer Khazana Ishaq Dar Nay Kaha Kai Pakistan Mai Sailaab Kai Baad Development Banks Aur Donors Bauhat Flexible Hain.

Unhonay Bataya Kay Pakistan Ki Foreign Payments $32 Billion Ki Hain.

Loan Maaf Kernay Ya Un Mai Kami Kai Sawal Per Ishaq Dar Nay Bataya Kay Hum Sirf Loan Reschedule Kernay Ka Soch Rahai Hain, Wohi Kafi Hay.

Iss Kai Sath Hi Unhonay Ye Bhi Kaha Kay Pakistan Saray Loan dainay Walon Say Aik Jaisi Conditions Per Inhay Reschedule karana chahta Hai.

Rupee Ki Qader Per Un Ka  Kehna Tha Kay Dollar Ki Asal Value 200 Rupees say Kam Hay, Iss Waqt Dollar 219 Rupees Kay Qareeb Trade Ker Raha Hay.

Ishaq Dar ka Kehna Tha Kay Currency Stable Aur Realistic Honi Chahye, Ye nahe Hona chaheye Kay Speculators Currency Market Main Arbo Dollar banain.

Ishaq Dar Nay Interview Main Bataya Kay IMF Ki Food Borrowing Window Bhi Un Kay liye Aik Acha Option Hay, Kion Kay Ho Sakta Hay Kay Aglay Saal 5 Lakh Ton Tak Wheat Import Kerna Par Jaei.

شیئر

جواب لکھیں