International Rating Agency Fitch Nay Pakistan Ki Long-Term Foreign Currency Issuer Default Rating Ko Kum Ker Dia Hay.

Company Nay Iss Faislay Ki Wajuhaat Main Bataya Hay Kay Sailaab Ki Waja Say Pakistan Kay Masaiel Main Izafa Hoa Hay Jis Say Pakistan Ki Loan Wapis Karnay Ki Salahiyat Mutasir Hogi.

Pakistan Kay Foreign Exchange Reserves 20 Arab Dollar Say Kam Hoker 7.6 Arab Dollar Hogaye Hain.

Fitch Kay Mutabiq Sabiq Wazir e Azam Imran Khan Mulk Mai Jald Election Ka Mutalba Ker Rahy Hain Aur Governmentt 2023 Main Election Karwana Chahti Hay. Imran Khan Zimni Election Jeet Rahy Hain Aur Government Per Pressure Barh Raha Hay.

شیئر

جواب لکھیں