Karachi Main Street Crimes

Kashif Aur Arshad Karachi Ke Elaqay Nazim Abad Main Apnay Ghar Ke Bahar Baithay Thay. Dopehr Ka Waqt Tha, Gali Main Ikka Dukka Logon Ki Aamd-o-Raft Jari Thi. Dono Dost Khush Gappion Main Masroof Thay Ke Aik Motor Cycle Un Ke Paas Aa Kar Ruki. Pehle Peechay Betha Banda Utar Kar Un Ke Paas Aaya, Us Ke Haath Main Pistol Thi. Us Ne Pistol Dikha Kar Dono Doston Se Mobile Phone Liye. Is Dauran Dusra Banda Bhi Un Ke Qareeb Aa Chuka Tha. Unhon Ne Kashif Aur Arshad Ke Jaibon Se Wallet Bhi Niklwa Kar Le Liye. Naujawan Kashif Aur Rashid Sakht Dehshat Zada Thay. Street Crime Ki Wardaton Ka Unhon Ne Suna Aur TV Per Dekha Tou Tha Magar Aaj Pehli Baar Unhon Ne Pistol Ko Haqeeqat Main Aur Maut Ko Apne Sar Par Mandlatay Huye Dekha. Aik Daku Pistol Ka Rukh Un Ki Taraf Kiye Khara Raha Dusray Ne Motorcycle Start Ki Aur Phir Dono Itmenan Se Rawana Ho Gaye.

Bashir Ahmed Maghrib Ke Baad Daftar Se Apnay Ghar Aa Rahay Thay. Gulshan-e-Iqbal Main Apne Ghar Janay Wali Sarak Per Achanak Aik Motorcycle Un Ke Barabar Main Aayi Aur Unhen Ruknay Ka Kaha. Bashir Ahmed Ki Chatti Hiss Ne Gurbar Ki Nishandahi Ki Lekin Is Se Pehle Ke Wo Motorcycle Ki Speed Barhatay Motorcycle Per Pecahay Baithay Shakhs Ne Gun Nikal Li. Bashir Ahmed Ne Farar Honay Ka Irada Tark Kiya Aur Bike Rok Di Aur Neechay Utar Kar Kharay Ho Gaye. Pistol Wala Daku Tab Tak Apni Bike Se Utar Chuka Tha. Wo Bashir Ahmed Ki Bike Per Baitha, Bike Start Ki Aur Dono Rawana Ho Gaye. Bashir Ahmed Hasrat Se Unhen Jatay Guye Dekhtay Rahay. Un Ki Aankhon Main Nami Aa Gayi. Lutnay Ke Ehsas Ke Saath Ye Fikr Un Ke Dil Ko Bheenchnay Lagi Ke Dusri Bike Kahan Se Aaye Gi.  Bari Mushkil Se Pait Kaat Kar, Committee Bhar Kar 35 Hazar Main Secondhand Bike Kharidi Thi. Mehngai Itni Barh Gayi Hay Ke Ab Tou Bachat Ka Sawal Hi Paida Nahi Hota Tha. Ab Phir Daftar Janay Ke Liye Bason Main Khuwar Hona Paray Ga. Wo Sarak Per Kharay Dair Tak Yehi Sochtay Rahay.

Karachi Main Ye Manazar Aur Waqiat Kabhi Kabhar Ki Baat Nahi Bulkay Roz Ka Maamool Hay. Subah Saweray Ho Ya Din Deharay, Sham Dhalay Ho Ya Raat Gaye. Koi Sunsan Gali Ho Ya Chalti Sarak, Mehalla Ho Ya Makan, Daftar Ho Ya Dukan, Buzurg, Khwateen Ya Jawan, Kaheen Bhi Koi Bhi Mehfooz Nahi. Ye Bekhauf Lutaray Kisi Ko Bhi Kahin Bhi Loot Laitay Hain. Mazahmat Par Goli Chala Kar Kisi Ki Jaan Lenay Se Bhi Daregh Nahi Kartay. Kitne Burhay Maan Baap Ke Saharay, Kitni Biwion Ke Suhag, Kitne Bachon Ke Baap In Saffak Dakuon Ke Haathon Zindagi Se Mehroom Ho Chakay Hain.

Media Reports Ke Mutabiq Karachi Main Rozana Chori Aur Loot Maar Ki 400 Se Ziyada Wardaten Hoti Hain.

Street Crime Ke Rok Tham Kesay Ho?

Karachi Main Street Crime Ki Itni Zyada Wardaten Honay Ki Aik Bari Wajah Nigrani (Surveillance) Na Hona Bhi Qarar Di Jati Hay. Dhai Crore Ki Abadi Main Sirf 3 Hazar CCTV Cameray Lagay Huye Hain.

Dusri Janib Dunya Ke Baray Shehron Main CCTV Ke Zariye Surveillance Ka Muassar Nizam Qaim Hay. Dunya Main CCTV Nigrani Ka Sab Se Bara Nizam China Main Hay. Shanghia Main 1 Crore Se Ziyada Cameray, Beijing Main 80 Lakh CCTV Cameray Lagay Huye Hain. China Ke 40 Shehron Main Har Hazar Afrad Ke Liye 373 Cameray Hain. Yani Har CCTV Camera 3 Afrad Per Nazar Rakhta Hay.

Raftar Bharne Do
CountryCity# of CCTV
Cameras
Population# of CCTV Cameras
per 1,000 People
ChinaShanghai 10,631,102 28.52M 372.80
ChinaBeijing7,953,06621.33M372.80
ChinaChongqing6,290,90316.87M372.80
ChinaTianjin5,223,60914.01M372.80
ChinaGuangzhou5,206,01713.96M372.80
ChinaShenzhen4,783,52012.83M372.80
ChinaChengdu3,533,5939.48M372.80
ChinaNanjing3,515,2739.43M372.80
ChinaWuhan3,202,9538.59M372.80

China Ko Hata kar Baat Karen Tou Dunya Ke Surveillance Walay Shehron Main India Sab Se Upar Nazar Aata Hay. Agar Cameron Ki Tadad Ke Lihaz Se Baat Ki Jaye Tou Indian Hyderabad Main 4 Lakh 40 Hazar Se Ziyada Cameray Lagay Huye Hain. Dusre Number Per Delhi Hay Jahn In Ki Tadad 4 Lakh 36 Hazar Hay. Chennai Main 2 Lakh 82 Hazar Aur Indore Main Taqreeban 2 Lakh Cameray Nasb Hain. Russia Ke Dar ul Hukumat Moscow Main2 Lakh 13 Hazar Aur London Main 1 Lakh 27 Hazar CCTV Cameray Lagay Huye Hain. Dusri Janib Pakistan Ke Shehar Lahore Main Sirf 10 Hazar Aur Karachi Main Sirf 3 Hazar CCTV Cameray Nasb Hain. Har Hazar Afrad Ke Lihaz Se Baat Karen Tou China Ke Baad Sub Se Pehlay Number Per Bhart Ka Shehar Indore Hay Jahan Har Hazar Afrad Ke Liye 63 Cameray Hain. Hyderabad Main Ye Tadad 42, Delhi Main 27 Aur Chennai Main 25 Hay. Dusri Janib Lahor Main Har Hazar Afrad Ke Liye 0.74 Aur Karachi Main Sirf 0.18 Cameray Nasab Hain.

Raftar Bharne Do
Photo Credit: Visualcapitalist
CountryCity# of CCTV
Cameras
Population# of CCTV Cameras
per 1,000 People
India Indore200,6003.21M62.52
IndiaHyderabad440,29910.53M41.80
IndiaDelhi436,60016.35M26.70
IndiaChennai282,12611.5M24.53
RussiaMoscow213,00012.64M16.85
Turkey Istanbul109,00015.64M6.97
PakistanLahore10,00013.54M0.74
PakistanKarachi300016.84M0.18

Karachi Main Crime Barhnay Per 2016 Main Supreme Ne Safe City Project Shuru Karnay Ka Hukum Diya Tha. 2016 Main Sindh Hukumat Ne Mansuba Manzur Kiya Lekin Koi Kaam Na Ho Saka. December 2020 Main Subai Hukumat Ne National Radio And Telecommunication Corporation (NRTC) Ke Saath Is Project Ke Liye 29 Arab Rupay Ka MOU Sign Kiya. Is Project Ke Tehat 10 Hazar Cameray Lagaye Jayen Ge Aur Iski Takmeel 2024 Main Honay Ka Imkan Hay.

Dunya Ke Deegar Shehron Ko Dekha Jaye Tou Karachi Ke Liye 10 Hazar Cameray Bhi Nakafi Hon Ge Lekin Kuch Na Honay Se Kuch Hona Behar Haal Behtar Hay.

Insani Huqooq Ki Tanzeemain Surveillance Cameron Par Tahaffuzat ka Izhar Karti Hain Aur Ise Shaksi Azadi Aur Privacy Ke Khilaf Qarar Deti Hain Lekin Is Ke Ba Wajood Dunya Bhar Main Hukumaten Surveillance Ko Jaraim Ki Rok Tham Ke Liye Zaruri Khayal Karti Hain.

شیئر

جواب لکھیں