PTI Ki Sindh Assembly Ki Rukn Dua Bhutto Nay Shauhar Haleem Adil Sheikh Say Khula Kay Liye Adalat Say Ruju Kar Liya.

Haleem Adil Sheikh Aur Dua Bhutto Ki Shadi 2018 Kay Elections Kay Fori Baad Hui Thi.

 56 Saal Kay Haleem Adil Sheikh Dua Bhutto Say Umar Main 20 Saal Baray Bataye Jatay Hain. Dono Nay Shadi 3 Saal Tak Khufiya Rakhi Thi Lekin September 2021 Mian Dua Bhutto Ko Baitay Ki Paidaish Kay Baad Shadi Ka Ailan Kar Diya Gaya Tha.

Raftar Bharne Do
Mujhe Talaq Chahiye! 1

PTI Kay MPA Aur Sindh Assembly Main Oppsition Leader Haleem Adil Ki Dua Bhutto Say Dusri Shadi Hay, Un Ki Pehli Biwi Say 7 Bachay Hain.

Shadi Kay 4 Saal Baad Dua Bhutto Nay Un Say Alehdgi Kay Liye Malir High Court Main Darkhwast Jama Karai Hay Aur Jald Faislay Ki Appeal Ki Hay.

Unhon Nay Darkhwast Main Mukhtalif Wujuhat Bayan Kartay Huye Bataya Kay Khandani Aur Niji Masail Ki Wajah Say Wo Haleem Adil Kay Saath Nahi Reh Sakteen.

Dua Bhutto Nay Khula Ki Darkhwast Aisay Moqay Par Ki Hay Jab Unkay Shauhar Haleem Adil Sheikh Long March Main Masroof Hain.

Haleem Adil Sheikh Ka Reaction

Aik Bayan Main Haleem Adil Shaikh Nay Kaha Kay Unhon Nay Kabhi Socha Bhi Nahi Tha Aisay Ho Ga, Dua Par Ya Tou Koi Dabao Ho Ga Ya Sazish Kay Tehat Ye Karaya Gaya Ho Ga. Wo Jab Jail Main Thay Tou Un Ka Dua Say Rabta Munqata Ho Gay Tha.

Haleem Adil Sheikh Nay Kaha Kay Nikah Aur Talaq Dono Jaiz Kaam Hain Lekin Sun Kar Afsos Hua. Ye Rishtay Tornay Kay Liye Nahi Hotay, Main Is waqt Azadi March Kay Liye Lahore Main Hun.

Un Ka Mazeed Kehna Tha Kay Sindh Hukumat Nay Mujh Par Hamlay Karaye, Muqadmat Banwaye, Jail Main Rakha Gaya. Har Shaksh Zulm, Dabao Aur Khauf Bardasht Nahi Kar Sakta.

شیئر

جواب لکھیں