Film Storytelling Ki Aik Modern, Aur Buhat Expensive Shakal Hay. Agar Aap Aik Movie Buff Ya Cinephilia Hain  To Aap Aisi Films Aap Ki Nazar Say Zarur Guzri Hongi Jinhain Dekhnay Kay Baad Aap Kafi Dair Sochtay Hi Reh Jatay Hain Ke Ye Hua Kya Tha?

Kabhi Kabhi To Aisi Movie Bhi ‘Takra’ Jati Hay Ke Do Baar Dekh Kar Hi Samajh Aati Hay. Agar Aap Ko Aisi Hi Mind Bending Movies Pasand Aati Hain To Aap Bilkul Theek Jaga Par Aayen Hain. Aaj Hum Aap Ko Aisi 10 Movies Kay Baaray Mein Batayen Gay.

Predestination

Year: 2014

Director: Michael Spierig, Peter Spierig

Mind Boggling Movies
Dimagh Ghoom Gaya! 10 Mind Boggling Movies 1

Aik Paradoxical Science Fiction Mystery, Jo Aap Kay Dimagh Ko Puncture Kar Day Gi. Ye Aik Time Traveler Ki Kahani Hay Jo Aik Mujrim Ki Talash Mein Past Yani Maazi Mein Jata Hay. Laikin Ye Koshish Aik Nai Story Khol Deti Hay. Aik Aisi Movie Jo Mind Boggling Movies Ki Har List Mein Shamil Hogi.


2001: A Space Odyssey

Year: 1968

Director: Stanley Kubrick

Mind Boggling Movies

Stanley Kubrick Ki Aik All Time Classic Movie. Dekh Kar Lagta Nahi Ke Ye 1968 Mein Bani Hogi. Is Kay Visuals Aur Music Apni Jaga Laikin Story Bhi Aisi Hay Ke Dimagh Ghoom Jaey. Film Human Evolution Say Us Kay Aik Lunar Mission Aur Phir Aik Space Mission Ki Kahani Bayan Karti Hay. Teenon Kahanion Mein Ta'luq Nazar Bhi Aata Hay Aur Nahi Bhi. End Bhi Aisa Hay Ke Banda Sochta 2 Ghantay 19 Minute Dekh Kar Us Ko Mila Kya?


Prisoner

Year 2013

Director: Denis Villeneuve

Mind Boggling Movies

2 Larkion Kay Aghwa Kay Baad Police Un Ki Talash Karti Hay. Jab Wo Aik Suspect Ko Chor Deti Hay To Us Ka Baap Qanoon Apnay Hath Mein Lay Laita Hay. Apni Family Ko Bachanay Kay Liay Baap Kis Had Tak Ja Sakta Hay, Is Movie Mein Dekhiye Ga. Aur Haan! Mind Blowing Movie To Ye Hay Hi, Aakhir Denis Villeneuve Ki Movie Jo Hay.


Donnie Darko

Year: 2001

Director: Richard Kelly

Mind Boggling Movies

Aik Troubled Teenager Ki Kahani Jo Aik Nightmare Dekhta Hay Ke Dunya 28 Dinon Mein Khatam Ho Jaey Gi. Wo Kai Mysterious Physical Aur Metaphysical Cheezain Dekhta Hay Aur Aik Rabbit Ki Shakal Ka Ajeeb Admi Frank Us Say Crimes Bhi Karwata Hay. Film Itni Ajeeb Hay Ke Isay Explain Karna Buhat Mushkil Hay. Tabhi To Ye Hamari Is List Mein Mojoud Hay.


Shutter Island

Year: 2010

Director: Martin Scorsese

Mind Boggling Movies

2 Marshals Teddy Aur Chuck Aik Jazeeray ‘Shutter Island’ Par Mojoud Aik Mental Hospital Jatay Hain. Un Ka Maqsad Aik Patient Kay Achanak Ghayab Ho Janay Ki Investigation Karna Hota Hay. ye Investigation Kai Twists And Turns Leti Hay Aur Jo Result Nikalta Hay Wohi Shutter Island Ka Raaz Hay. Aur Haan! Yeh Movie Aap Doosri Baar Zarur Dekhain Gay.


Memento

Year: 2000

Director: Christopher Nolan

Mind Boggling Movies

Jab Movie Christopher Nolan Ki Ho To Kamaal To Hogi. Laikin Memento To Dimagh Bhi Ghuma Deti Hay. Is Mein Leonard Shelby Naami Aik Insurance Investigator Short Term Memory Loss Ka Shikar Hota Hay. Jis Ka Maqsad Us Shakhs Ko Pakarna Hay Jisay Wo Apni Biwi Kay Qatil Samajhta Hay. Movie Ki Timeline Bhi Ajeeb Hay Aur Story Bhi. Bollywood Kay “Mr. Perfect” Amir Khan Ki Ghajini Isi Movie Ki Ghatiya Naqal Hay.


Prestige

Year: 2006

Director: Christopher Nolan

Mind Boggling Movies

Nolan Ki Aik Aur Mind Bending Movie. 2 Magicians Ki Kahani Jo Aik Competition Main Sari Limits Paar Kar Jatay Hain. Itna Aagay Nikal Jatay Hain Ke Aik Doosray Ko Neecha Dikhanay Kay Liay Koi Bhi Step Utha Laitay Hain. Laikin Us Professional Jealousy Ka End Kya Hota Hay? Us Kay Liay Movie To Dekhna Paray Gi.

Fight Club

Year: 1999

Director: David Fincher

Mind Boggling Movies

David Fincher Classic, Aik Insomniac Ki Kahani, Jo Apnay Lifestyle Say Tang Hota Hay. Phir Us Ki Mulaqat Tyler Durden Say Hoti Hay Aur Donon Mil Kar Banatay Hain Aik Undergound Fight Club. Tyler Us Ka ‘Hero’ Hota Hay, Bilkul Waisa Jaisa Wo Khud Ban’na Chahta Hay. Fight Club Mein Un Jaisay Apni Zindagi Say Tang Log Jama Hotay Hain Laikin Haqeeqat Kya Hoti Hay Is Ka Pata Movie Dekh Kar Hi Chalay Ga.


Usual Suspects

Year: 1995

Director: Bryan Singer

Mind Boggling Movies

5 Criminals Ki Kahani Jo Aik Khatarnaak Chori Ki Sazish Kartay Hain, Sab Mar Jatay Hain Aur Bachta Hay Sirf Aik. Puri Movie Is Aik Suspect Roger ‘Verbal’ Kint Ki Police Investigation Kay Gird Ghoomti Hay, Aur Phir Aap Ko Bhi Ghuma Day Gi.


Inception

Year: 2010

Director: Christopher Nolan

Mind Boggling Movies

Salam Hay Nolan Sahib Ko, Teesri Baar Is List Mein Aaey Hain. Ye Kahani Hay Anokhay Choron Ki, Jo Logon Kay Khwab Churatay Hain. Aik Phir Wo Task Milta Hay, Khwab Churanay Ka Nahi, Kisi Kay Dimagh Mein Aik Khayal Plant Karnay Kay. Khwab Kay Andar Khwab Ki Ye Kahani Aap Ko Aik Nai Duniya Mein Lay Jaey Gi Aur Hairan Karday Gi. Itna Kay Shayad Aap Kabhi Na Huay Hon.

شیئر

جواب لکھیں