Ghutan Ki Shikaar Society, Zulm-o-Sitam Apnay Urooj Par. Taaqatwar Minority Kay Samnay Majboor Aur Helpless Majority. Jo Apni Zindagi Badalnay Kay Liye Kisi Karishmay Ka Khwab Dekh Rahi Hay, Aur Kisi Leader, Kisi Superhero Ki Muntazir Hay. Aur Phir Aik Zabardast Taaqat Rakhnay Walay Ka Zahoor Hota Hay Jo Mayoosi Ki Tareeki Mein Umeed Ki Kiran Ban Kar Ubharta Hay.

Yeh Kisi Formula Film Ka 'Ghisa Pitta' Script Bhi Hay Aur Kisi Hadd Tak Haqeeqat Bhi. Duniya Bhar Mein Buhat Si Films Isi Formulay Par Banti Hain. Laikin Hairat Hay, Kamyaab Bhi Ho Jati Hain. To Aakhir Aisi Kya Baat Hay Jo In Films Ko Aik Doosray Se Munfarid Banati Hay? Aur Kya DC Comics Kay Kirdaar Par Mabni Latest Movie 'Black Adam’ Just "Aik Aur Super-Hero Film" Hay Ya Hamari Realities Ko Dramatize Kar Kay Dikhati Hay? Aaiey, Pata Chalatay Hain.

Kahani Ka Aghaz

Film Hazaron Saal Pehlay Aik Farzi Mulk 'Kahndaq' Se Talluq Rakhnay Walay Aik Shakhs 'Black Adam' Ki Kahani Hay. Jisay Misri (Egyptian) Devtaon Ne Zalim Raja Se Nijaat Dilanay Kay Liye Chuna Tha. Lekin Jab Ye Maqsad Poora Karnay Kay Liye Usay Taaqat Kay Sath Bheja Gaya To Us Ne Sirf Raja Ka Khatma Hi Nahi Kia, Balkay Apnay Ghaiz-o-Ghazab Ki Aag Say Pooray Ilaqay Ko Hi Barbaad Kardiya.

Is Harkat Par Usay Taaqat Denay Walay Devtaon Ne “Neutral” Honay Ka Faisla Kar Lia, Aur Black Adam Ko Aik Maqbaray Mein Qaid Kar Diya.

Black Adam, Nai Dunya Mein

Phir Film Ki Kahani Naey Dour Mein Aa Jati Hay, Yani Kai Hazaar Saal Baad. Kahndaq Kay Awam Aik Baar Phir Jabir Hukoomat Kay Shikanjay Mein Hain. Is Baar Yahan Aik Organized Crime Karnay Walay Group  ‘Intergang’ Ka Qabza Hay.

Aisay Mein Zalim Hukoomat Kay Khilaaf Resistance Karnay Wali Archaeologist Adrianna Tomaz, Janay Anjanay Mein, Black Adam Ko Qaid Se Azad Kar Deti Hay. Aur Is Se Madad Maangti Hay. Magar, Insanon Ko Supernatural Khatron Se Bachanay Ki (Self-Proclaimed?) Duty Karnay Wali 'Justice Society' Kay Heroes Black Adam Ko Control Karne Aa Jaatay Hain.

Tab Adrianna Shikwa Karti Hay Ke Jab Kahndaq Kay Log Intergang Kay Zulm-o-Sitam Ka Shikaar Thay To Tab Unhein Koi Bachanay Nahi Aaya. Aur Jab Unhein Aik Saviour Yani Nijaat-Dahinda Mila Hay To Woh Usay Bhi Rokna Chahtay Hain?

Doosri Taraf Black Adam Bhi Itnay Saal Jail Mein Rehnay Kay Bawajood Sudhra Nahi. Justice Society Walay Usay Samajhatay Bhi Hain Ke 'Miyan! Hero Logon Ko Mara Nahi Karte', Lekin Woh To Dutt Kar Kehta Hay Ke 'Mein To Maarta Hon.'

To Wo Waqai Hero Hay Ya Villain?

Black Adam, Hero Ya Villain?

Mazay Ki Baat Yeh Hay Ke 1945 Mein Pehli Baar Comic Series Mein Black Adam Kay Kirdaar Aaya Tha. Sirf Aik Baar Kay Liye Villain Kay Roop Mein. Baad Mein Wo Nah Sirf Aur Kahaaniyon Mein Aaya Hua Balkay Kuch Arsay Say Is Kay Kirdaar Ki Corruption Ko NRO Dainay, Yani Usay Aik Negative Say Positive Roop Dainay Ki Koshish Ki Gayi Hay.

To, Is Film Mein Hero Kon Hay? Black Adam Ya Justice Society? Aur Villain Kon Hay? Inhi Mein Se Koi Aik Ya Koi Teesra Kirdaar? Is Sawal Ka Jawab Aap Kay Liay Chhortay Hain.

Rock Kay Expressions Black Adam Par

Film Ka Main Kirdar Mashoor-e-Zamana Former Wrestler Aur ‘The Rock’ Kay Naam Se Maroof Dwayne Johnson Ne Nibhaya Hay. Cast Mein Pierce Brosnan (Dr Fate), Aldis Hodge (Hawkman) Aur Sarah Shahi (Adrianna Tomaz) Shamil Hain.

Dwayne Johnson Jab Se Big Screen Par Aaey Hain, Ab Tak Un Ki Acting Mein Koi Khaas Faraq Nazar Nahi Aaya. Aisa Lagta Hay Ke ‘The Rock’ WWE Kay “Set” Par Kisi “Dramay” Ka Hissa Hain. Un Kay Chehray Par Wohi ‘The Mummy Returns’ ' Aur ‘Scorpion King’ Walay Expressions Ab Bhi Nazar Aatay Hain. Haan, Dialogue Delivery Mein Phir Bhi Behtari Aai Hay. Khair, Doosray Actors Ki Adakaari Kafi Achhi Hay.

Budget, Ratings, Dialogues Aur CGI

Taqreeban 200 Million Dollar Kay Budget Se Ban'nay Wali Yeh Film First Month Mein Hi Box Office Par 350 Million Dollar Kama Chuki Hay.

Phir IMDB Par 7 Rating Bhi Mili Hay. Is Ki Waja Hay Movie Ka Mazaydar Screenplay Aur Dilchasp Dialogues. Aisay Dialogues Jo Mushkil Balkay Sangeen Lamhaat Mein Bhi Hansnay Par Majboor Kar Dain. Wo Alag Baat Ke Is Tarah Situation Ki Seriousness Ka Ehsas Kam Hojata Hay.

Phir Movie Mein Aik Kay Baad Doosra Action Sequence Hay, Jis Say Interest Barqarar Rehtay Hay. Kabhi Aap Hill Kar Reh Jatay Hain To Kabhi Hans Hans Kar Be Haal Bhi.

Film Ki CGI, Yani Computer-Generated Imagery, Bhi High Quality Ki Hay. Aisa Lagta Hay Ke Hum Kisi Doosri Dunya Mein Hay. Haan, Kuch Manazir Is Level Kay Nahi Hain. Jaisay Villain Kay Last Scenes.

Black Adam Sub Say Alag Kyun?

Jo Baat ‘Black Adam’ Ko Sub Say Alag Aur Munfarid Banati Hay, Woh Aik Superhero Ki Kahani Ka Sahara Lay Kar World Powers Kay Colonial Mindset Par Tanqeed Karna Hay.

Film Ka Youngest Kirdaar, Adrianna Tomaz Ka Beta Amon Tomaz, Film Ki Ibtida Hi Mein Police Naakay Par Officer Say Ulajhta Hay. Aur Kehta Hay Ke Tum Colonial Empires Kay Officer Ho, Jisay Duniya Kay Doosray Kinaray Say Laa Kar Yahan Hum Par Musallat Kia Gaya Hay. Jis Ka Maqsad Sirf Hamaray Mulk Kay Natural Resources Chori Karna Hay.

To Yeh Mehez Aik Formula Superhero Film Hay Ya Hamaray Haal Ki Taraf Ishara? Is Ka Faisla Film Kay Nazreen Par.

شیئر

جواب لکھیں