The Legend Of Maula Jatt Ne Pakistani Cinema Ko Revive Kiya Hay. Ye Film Ab Tak Pakistan Ki Sb Se Zyada Business Karnay Wali Film Bhi Ban Gayi Hay. 1979 Ke Super Hit Maula Jatt Ke Kridaron Per Mushtamil Film Ne Jahan Kai Record Aur Aizaz Apnay Naam Kiye Hain Ab Is Ki Cap Main Aik Aur Feather Ka Izafa Ho Gaya Hay. Google Ke Year In Search Data Ke Mutabiq Maula Jatt 2022 Main Pakistan Main Sab Se Zyada Search Ki Janay Wali Movie Rahi.

Raftar Bharne Do
Maula Jatt Ki Sab Ko Talash 1

List Main Dusray Number Per Streming Services Disney+ Ki TV Series Ms. Marvel Rahi.

Raftar Bharne Do
Maula Jatt Ki Sab Ko Talash 2

Ms. Marvel Main Pakistanion Ki Dilchaspi Ki Wajah Ye Thi Ke Is Main Lead Character Pakistni Born Canadian Actress Iman Vellani Play Kiya Hay. Is Ke Ilawa Is Main Fawad Khan Aur Mehwish Hayat Samait Kai Pakistani Adakaron Ne Bhi Kaam Kiya Hay. Jab Ke Is Ki Kai Scenes Ki Shooting Bhi Pakistan Main Hui Hay.

Raftar Bharne Do
Maula Jatt Ki Sab Ko Talash 3

Humayun Saeed Aur Mehwish Hayat Ki Movie London Nahi Jaunga Ko Bhi Pakistanio Ne Search Kiya Aur Ye List Main 6th Number Per Rahi.

Raftar Bharne Do
Maula Jatt Ki Sab Ko Talash 4

Aik Aur Pakistani Movie Quaid-E-Azam Zindabad Bhi Google Top Searches Main Jaga Banana Main Kamyab Hui. Is Film Main Main Cast Main  Fahad Mustafa Aur Mahira Khan Shamil Thay.

Raftar Bharne Do
Maula Jatt Ki Sab Ko Talash 5

ISPR Ke Collaboration  Se Banayi Gayi Drama Serial Sinf-E-Aahan Bhi Pakistanio Ki Talash Main Shamil Rahi. Ye Different Backgrounds  Se Taaluq Rakhnay Wali Saat Larkion Ki Kahani Hay Jin Ki Zindagi Army Join Karnay Ke Baad Change Ho Jati Hay.

Dilchasp Baat Ye Hay Ke Pakistan Ki Movies Aur Dramas Se Tou Google Top Searches Main Jaga Banayi. Lekin Koi Pakistani Showbiz Personality Top Searches Main Shamil Na Ho Saki. Ye Maidan Politicians Aur Khilariyon Ke Haat Raha.

 Google Per Search Ki Gayi Top Movies Aur Dramas Ki List Ye Hay.

1) Maula Jatt
2) Ms. Marvel
3) Black Adam
4) Thor Love and Thunder
5) Doctor Strange
6) London Nahi Jaunga
7) The Batman
8) Quaid-e-Azam Zindabad
9) Sinf e Aahan
10) House of the Dragon

شیئر

جواب لکھیں