Information Technology Main India Nay Hamesha Pakistan Say Aagay Nikalnay Balkah Nuqsan Puhanchanay Ki Koshish Ki Hay, Laikin Abhi Indian Hackers Itnay Baray Nahi Hoay Kay Pakistan Ko Koi Nuqsaan Puhancha Sakain.

Pakistan Telecommunication Authority Nay Aik Alert Jari Kia Hay, Jis Mai Bataya Gaya Hay Ke Dunya Kay Kuch Cities Main Pakistani Embassies Ka Sensitive Data Chauri Karnay Ki Koshish Ki Gai Hay.

Indian Hackers Nay Brunei, Nepal, Argentina Aur Azerbaijan Main Pakistani Embassies Ko Email Bhajein, Jis Kai Baad Pta Nay Alert Jari Kertay Hoay Eham Infrastructure Aur Websites Ki 24 Hours Monitoring Ki Hidayat Kerdi Hay.

Pta Nay Yeh Bhi Bataya Ke Indian Hackers Ki Janib Say Aisa Kernay Ka Maqsad Embassies Ki Jasoosi Aur Sensitive Files Chauri Kerna Hay. Hackers Ki Taraf Say Fake Email Ids Say Links Send Kiya Jatay Hain, Jin Main Web Site Hack Kernay Kay Links Maujood Hotay Hain.

Iss Kay Ilawa Embassies Kay Employees Ko Kaha Gaya Hay Kai Woh Social Engineering Aur Fake Emails Say Related Training Hasil Karain Aur Kisi Bhi Mashkook Email Ko Na Kholain.

شیئر

جواب لکھیں