Kia Aap Ko Machhar Buhat Kat’tay Hain? Ab Ye Na Kahain Ke Aap Ka Khoon Bohat Meetha Hay Isliay. Aisa Kuchh Nahi Hota, Bas Dil Ko Khush Rakhnay Ki Baatein Hain. Kiunke Science Kehti Hay Ke Agar Doosron Kay Muqablay Main Aap Ko Ziada Machhar Kat’tay Hain To Us Ki Waja Hay Aap Kay Jisam Ki Boo.
Science Journal Cell Main Publish Honay Wala Aik Paper Kehta Hay Ke Machhar Jisam Ki Boo Say Attract Hotay Hain, Aur Yahi Waja Hay Ke Jin Logon Kay Jisam Main Aik Khaas Boo Hoti Hay, Unhain Machhar Ziada Kat’tay Hain.
Research Kay Mutabiq Machhar Un Logon Say Bara ‘Pyar’ Kartay Hain Jin Kay Jisam Main Carboxylic Acids Ki Quantity Ziada Hoti Hay. Har Insan Main Mukhtalif Chemical Compound Ka Level Mukhtalif Hota Hay, Jis Ki Waja Say Har Aadmi Ki Natural Boo Mukhtalif Hoti Hay. Jin Logon Ki Skin Par Carboxylic Acids Ziada Hotay Hain, Wo To Mosquito Magnets Hotay Hain.
Scientists Kehtay Hain Ke Chahay Aap Kitnay Bhi Saaf Suthray Rahain, Ya Apni Diet Bhi Change Kar Dain, Laikin Carboxylic Acids Main Koi Faraq Nahi Parnay Wala. Yani Aap Kuchh Bhi Karlain Machhar Aap Say ‘Mohabbat’ Kartay Rahain Gay.
Waisy Science Buhat Pehlay Say Janti Thi Ke Machhar Kay Attract Honay Ki Waja Boo Hay, Laikin Kaun Si? Ye Ab Pata Chala Hay. Yani Carboxylic Acids.
Ab Is Research Ka Faida Ye Hoga Ke Modern Mosquito Repellents Ban Saktay Hain. Is Waqt Machhar Bhaganay Walay Repellents Main DEET Ka Istamal Hota Hay, Aur Ye 1940s Say Chal Raha Hay. Ab Ye Research Jadeed Mosquito Repellents Banaey Gi Aur Yoon Mosquito Magnets Ki Zindagi Aasan Ho Jaey Gi.