3 Saal Baad Pehli Baar Dunya Ka Most Powerful Operational Rocket ‘Falcon Heavy’ Aik Baar Phir Puri Raftar Say Launch Ho Chuka Hay.

Falcon Heavy Ko History Main Sirf 4th Martaba Launch Kia Gaya Hay. 2018 Main Test Flight Hui Thi, Jis Main Rocket Tesla Roadster Ko Space Main Lay Gaya Tha. Ye Car Ab Bhi Space Main Kaheen Ghoom Rahi Hogi. Phir 2019 Main 2 Missions Huay. Aur Ab NASA Kay Kennedy Space Center Say Ye Recent Launch Hua Hay.

Ye Rocket 230 Feet Ooncha Hay, Yani SpaceX Kay Doosray Rocket ‘Falcon 9’ Say 3 Times High. Aur Is Main 27 Engines Hain. Falcon 9 Main To Sirf 9 Engines Hain.

Fuel Consumption 7 Ton Per Second

Falcon Heavy Kay Rockets Start Hotay Hi Zabardast Dhuwan Paida Hua. Powerful Engines Nay Approx. 50 Lac Pounds Ka Thrust Paida Ki. Rockets Main Mojood 1,400 Ton Propellent 7 Ton Per Second Kay Hisab Say Burn Hua. Aur Falcon Heavy Ye Ja, Wo Ja!

Lift-off Kay 8 Minute Baad Is Kay Donon Side Boosters Successfully Zameen Par Wapis Bhi Aa Gaey.

Next Projects

SpaceX Ka Mansooba Hay Ke Isi World's Most Powerful Rocket Say 2023 Main Chand Par Aik Lander Bheja Jaey. Jo 2025 Ki Historical Lunar Landing Say Pehlay Aik Important Mission Hoga. Jo 50 Saal Baad Pehla Moqa Hoga Ke Koi Insan Chand Par Utray Ga.

SpaceX Starship Moon Mission

Last Mission To The Moon

Chand Par Aakhri Bar Koi Insan December 1972 Main Gaya Tha, Jab Apollo 17 Space Main Gaya Tha. Is 12 Roza Mission Main Kai Records Banay. Sab Say Lambi Space Walk, Sab Say Lambi Lunar Landing Aur Sab Say Barra Lunar Sample Bhi Isi Mission Say Zameen Par Laya Gaya Tha.

Apollo 17

Apollo 17 Ko Space Main Bhejnay Kay Liay Saturn V SA-512 Rocket Use Kia Gaya Tha.

NASA Aur SpaceX

NASA Nay 2026 Main Grace Roman Telescope Bhejnay Kay Liay Isi Falcon Heavy Rocket Ka Intikhab Kia Hay. Ye Telescope Dark Matter, Dark Energy Aur Exoplanets Ki Talash Kay Liay Kaam Karay Gi. Waisay Chand Par Dobara Janay Ke Mission Main Bhi SpaceX Shamil Hoga. Bus Us Mission Main Falcon Heavy Kay Bajaey Starship Ka Istamal Hoga.

شیئر

جواب لکھیں