Ye 2001 Ka Wimbledon Hay. 19 Saal Ka Aik Nojawan, Jisay Koi Nahi Janta Tha, Pehli Baar Kisi Barray Tournament Main Seed Ho Kar 4th Round Tak Puhancha Tha. Laikin Yahan Us Ka Muqabla Parr Gaya Musalsal 4 Martaba Kay Champion Pete Sampras Say, Yani Apnay Hi Bachpan Kay Hero Say.Sampras Thay Bhi Hot Favourite, Aakhir Kiyun Na Hotay? Wo Is Match Say Pehlay Wimbledon Main Musalsal 56 Matches Jeet Chukay Thay Laikin 5 Set Kay Muqablay Main Haar Gaey. Jeetnay Kay Baad Jab Us Nojawan Nay Sampras Say Haath Milaya To Us Ki Aankhon Main Aanso Thay. Us Nay Apnay Childhood Hero Ko Haraya Hi Nahi Tha Balkay Us Ka Musalsal 5 Wimbledon Jeetnay Ka Khwab Bhi Torr Diya Tha. Wohi Khwab, Jo Baad Main Is Nojawan Nay Khud Poora Kia.

Aaj Kaun Hay Jo Is Nojawan Ko Nahi Jaanta, Roger Federer Ko Nahi Janta. Aaj Wohi Roger Federer Tennis World Ko Chhorr Gaya.

Federer Ne 2003 Mein Apna Pehla Grand Slam Title Jeeta, Wimbledon Ki Soorat Mein. Aur Phir Kuch Hi Dinon Mein World Number One Ban Gaye. Woh 237 Hafton Tak World Number One Rahay, Jo Apnay Zamanay Ka Record Tha. Phir Musalsal 5 Martaba Wimbledon Aur Lagataar 5 Baar US Open Jeetnay Ke Record Bhi Banaey. Federer Ne Kul 20 Grand Slam Titles Jeetay Aur Yoon Apnay Hero Pete Sampras Ka Yeh Record Bhi Torr Diya. Federer 8 Wimbledon, 5 US Open, 6 Australian Open Aur Aik French Open Titles Ke Sath Tennis Say Retire Hoay Hain.

Yeh Wahid French Open Jeetnay Ki Kahani Bhi Barri Mazedaar Hay. Federer Apnay Riwayati Hareef Rafael Nadal Ki Tarah Clay Court Ke Ustaad Nahi Thay. Woh Musalsal Teen Martaba Rafael Nadal Se French Open Final Haaray. Yahan Tak Ke 2009 Aa Gaya, Jis Mein Nadal Final Tak Nahi Pohanch Sakay. Yahan Roger Federer Ne Mauqay Ka Poora Faida Uthaya Aur French Open Jeet Liya. Yoon Un Khilarion Mein Shamil Ho Gaey Jin Ke Paas Har Grand Slam Title Mojood Hay.

Saal 2010 Mein Australian Open Jeetnay Ke Baad Federer Ko Aa Gaya Zawaal. 6 Saal Mein Unhon Ne Sirf Aik Wimbledon Jeeta. 2 Grand Slam Finals Haaray. Sab Keh Rahay Thay Ke Federer Ka Zamana Ab Guzar Gaya. Tab 2017 Mein Federer Ne Aik Naya Janam Liya. Australian Open Ke Final Mein Un Ka Muqabla Hua Aik Martaba Phir Rafael Nadal Se, Usi Rafael Nadal Se Jin Ke Khilaaf Federer 8 Mein Se Sirf 2 Final Jeet Sakay Thay, Aur Aakhri Final Jeetay Hue Bhi 10 Saal Ho Chuke Thay. Tab Federer Ki Umar 36 Saal Thi, Back Aur Knee Injuries Se Pareshan, Aur Aisi Umar Mein Jis Mein Ziyada Tar Khilari Retire Ho Jatay Hain, Lekin Federer Ke Andar Kuch Khaas Tha.

Phir Hamein Woh Epic Final Dekhnay Ko Mila, Federer Ba-Muqabla Nadal Final, Jo Teen Ghantay 38 Minute Jari Raha Aur 5 Set Ke Muqablay Mein Federer Ne Tareekhi Kamyabi Haasil Ki Aur Duniya Ko Bata Diya Ke ‘Form Is Temporary But Class Is Permanent’.

Aglay Saal Yani 2018 Mein Federer Ne Apnay Australian Open Title Ko Kamyabi Se Defend Kia. Yeh Un Ka Last Grand Slam Tha, Record 20th Grand Slam. Is Ke Sath Hi Federer Sab Se Ziyada 36 Saal Ki Umar Mein Number One Rehne Walay Khilari Ban Gaey.

Aaj Wohi Federer 41 Saal Ki Umar Mein Tennis Duniya Ko Alvida Keh Gaey.

شیئر

جواب لکھیں