Women’s Asia Cup Kay Final Main Sri Lanka Nay Jo Kia Hay, Us Kay Baad To Har Pakistan Keh Raha Hay “Hamain Kyun Haraya?”

Semi Final Main Pakistan Ko Shikast Dainay Kay Baad Final Jaisay Important Match Main Sri Lanka India Ko Sirf 66 Runs Ka Target Day Saka, Jo India Nay 2 Wickets Par Hi Hasil Kar Lia Aur Yoon 7th Martaba Asia Champion Ban Gaya.

Sylhet, Bangladesh Main Khelay Gaey Final Main Sri Lanka Nay Toss Jeet Kar Batting Karnay Ka Faisla Kia, Aur Apnay Pairon Par Khud Kulhari Maar Di. Top Order Ki 6 Batters Double Figures Main Bhi Nahi Puhanchin. Sirf 32 Runs Par 8 Out Ho Chukay Thay. Khatra Tha Kay Sri Lanka Women Apni History Kay Lowest Total 46 Say Bhi Pehlay Out Ho Jaey Gi.

Tab Oshadi Ranasinghe Aur Inoka Ranaweera Nay Is Sharmindagi Say To Bacha Lia, Laikin Runs Phir Bhi Sirf 65 Ban Sakay.

India Ki Bowlers Main Say Renuka Thakur Nay 5 Runs Day Kar 3 Wickets Leen.

Ab India Kay Liay 66 Runs Banana Kia Masla Tha? Aik End Say Smriti Mandhana Nay 3 Sixes Aur 6 Fours Say Sirf 25 Balls Par Not Out 51 Runs Ki Innings Khaili. Aur India Nay 8.3 Overs Main Hi Target Hasil Kar Lia.

Ab Tak Honay Walay 8 Women’s Asia Cup Main Say India 7 Jeeta Hay. Only Tournament 2018 Ka Tha, Jis Main Bangladesh Nay Upset Kartay Huay India Ko Final Hara Dia Tha.

Sri Lanka Ka Ye 5th Final Tha, Laikin Wo Phir Har Gaya, Har Baar Ki Tarah India Say.

Aakhir Main Renuka Thakur Ko 3 Wickets Lainay Par Match Aur Deepti Sharma Ko 94 Runs Aur 13 Wickets Lainay Par Tournament Ki Best Player Kay Awards Milay.

شیئر

جواب لکھیں