T20 World Cup 2022 Ke Liye Mukhtalif Mulk Apni Kits Bana Chukay Hain Balkay Is Mein Kai Matches Bhi Khail Chukay Hain. Australia, England, India, Bangladesh Ke Ilawa Pakistan Bhi World Cup Ki Kit Mein Khail Raha Hay. Kisi Ko To Yeh Shirt Bohat Pasand Aa Rahi Hay Lekin Kayi Log Keh Rahay Hain "Yeh To Tarbooz Hay Yaar!"

Aik Zamana Tha Cricket Safaid Kapray Pehan Kar Khela Jata Tha, Lekin Zamana Badla Aur Sath Hi Bohat Kuch Badal Gaya. Cricket Day And Night Ho Gai, Gaind Red Se White Ho Gayi, Kapray Ho Gaey Rangeen Aur Cricket Ban Gai Sangeen!

Phir Pehli Baar 1981 Mein Pakistan Ne World Series Cup Mein Kisi Coloured Kit Ka Istemaal Kya Aur Phir Yeh Silsila Chal Hi Para.

World Cup 1992 Aaya, Jis Ne Cricket Ki Duniya Hi Badal Di. Yeh Pehla World Cup Tha Jis Mein Day And Night Matches Hue, Laal Ke Bajaye Safaid Gaindon Ka Istemaal Hua Aur Sath Hi Coloured Cuts Ka Bhi. Is World Cup Ke Baad International Cricket Mein Rangeen Kapray Aam Ho Gaey. World Cup 1992 Ki Yeh Jersey Pakistan Cricket History Mein Bohat Hi Khaas Maqam Rakhti Hay. Aaj Bhi Log Usay Pakistan Khoobsurat Tareen Jersey Kehte Hain. Aur Kiun Na Kahin? Yahi Pehan Kar To Pakistan Pehli Aur Aakhri Baar World Cup Jeeta Tha.

Phir World Series Se Le Kar World Cup Tak, Aglay Saalon Mein Bohat Si Kits Aaeen. Kuch Waqai Achi Theen Aur Baqi Bas Guzaray Laiq. Lekin 1997 Mein Australia Mein Honay Wali Tri-Series Ki Kit Ne To Sab Ke Dil Jeet Liye. Is Kit Mein Harey Aur Neelay Rung Ka Zabardast Combination Istemaal Kya Gaya Tha, Aur Sath Hi Aik Acha Addition Tha Kandhay Par Banay Hue Star Ka. Pakistan Is Tournament Mein Khela Bhi Bohat Acha, Final Tak Pohncha Aur West Indies Ko Hara Kar Champion Bhi Bana.

World Cup 1999 Tareekh Ke Best World Cup Tournaments Mein Se Aik Tha. Apne Behtareen Matches Wajah Se Bhi, Aur In Khoobsurat Kits Ki Wajah Se Bhi. Pakistan Ki Kit Par Aik Barra Star Bana Hua Tha. Yeh Jersey Aur Iss Par Shoiab Akhtar Aur Waseem Akram Ki Bowling, Aaj Bhi Bhulae Nahi Bhooltay.

Pakistan Ki Aik Aur Yadgar Kit Thi World Cup 2011 Wali. Dark Green Colour Aur Is Par Bara Sa Chaand Sitara. Pakistan Ne Is Kit Mein Apni Himmat Aur Taaqat Se Barh Kar Perform Kya, Bas Semi Final Mein India Se Haar Gaya. Dukh To Bara Hua Lekin Yeh Jersey Phir Bhi Bohat Mashhoor Hui, Aur Aaj Tak Hay.

‏2012 Ke T20 World Cup Mein Pakistan Ki Jersey Yeh Thi. Is Par Shayad Pehli Aur Aakhri Baar Qaumi Parcham Shaamil Kya Gaya Tha. Dark Green Colour Ki Is Kit Mein Baen Kandhay Par Pakistan Ka Jhanda Bana Hua Tha Aur Dil Ki Baat Hay Ke Bohat Pyara Lag Raha Tha.

‏2013 Mein Pakistan Ne India Ka Tour Kia, Jo Naqabil-e-Yaqeen Performance Ki Wajah Se Aaj Bhi Yaad Kia Jata Hay. India Ko India Mein Haraana Koi Chhoti Baat Hay? Is Doray Par Istemaal Ki Gai Kit Bhi Kamaal Ki Thi. Kamyabi Ko Chaar Chaand Laga Diye Thay Is Kit Ne.

Raftar Bharne Do

England Ne 2015 Mein Pakistan Ke Khilaaf Aik Series Kheli Thi Jis Ke Liye Pakistan Ne Yeh Kit Banai Thi. Is Ki Shirt Par Bana Modernistic Star Naye Zamane Ko Zahir Kar Raha Tha, Aur Neelay Aur Peelay Rung Ke Shades Bhi Kit Ki Khoobsurti Mein Izafah Kar Rahay Thay. Woh Alag Baat Ke Pakistan One Day Series 3-1 Aur T20 3-0 Se Haar Gaya Tha.

Raftar Bharne Do

Champions Trophy 2017 Ko Kaisay Bhool Jayen? Itnay Barray Tournament Ka Final Aur Pakistan Aur India Aamnay Samnay? Yeh To “Mother Of All Matches” Tha. Phir Pakistan Ne Nai Tareekh Raqam Ki. India Ko 180 Runs Se Haraya Aur Phir Champions Ka Champion Ban Gaya, Is Kit Mein! Khoobsurat Hay Na?

World Cup 2019 Mein Pakistani Khilarion Ne Jo Kit Pahani Thi, Woh Bhi Bohat Unique Thi. Is Mein Green Colour Ke Mukhtalif Shades Ka Saada Lekin Behtareen Istemaal Kya Gaya Tha. Pakistan World Cup Mein Khela Bhi Bohat Acha, England, South Africa Aur New Zealand Ko Haraya Bhi, Lekin Qismat Apne Sath Nahi Thi. Semi Final Mein Bhi Nahi Pahonch Sakay. Laikin Ye Kit Ab Bhi Dilon Main Jaga Rakhti Hay.

Waisay Aap Ko Pakistan Cricket History Ki Kon Si Kit Pasand Hay?

شیئر

جواب لکھیں