Sri Lanka Zabardast Muqablay Kay Baad Netherlands Ko Hara Kar Super 12 Main Puhanch Gaya Hay.
Match Kay Aakhri Overs Main To Buhat Kaantay Ka Muqabla Hua. Netherlands Ko 3 Overs Main 54 Runs Ki Zarurat Thi Aur Sirf 2 Wickets Baqi Theen. Laikin Aik End Par Max O’dowd Kharay Thay. Wo To Aaj Mad Max Banay Huay Thay. 18th Aur 19th Over Main 31 Runs Banay. Yoon Last Over Main Bachay 23 Runs. Lahiru Kumara Nay Yahan Dimagh Say Bowling Ki Aur Match Bacha Lia.
Match Main Sri Lanka Nay Toss Jeet Kar Pehlay Batting Ki Thi. 6 Wickets Par 162 Runs Ki Innings Main Prominent Thay Kusal Mendis, Jinhon Nay 44 Balls Par 79 Runs Banaey. Wicket Keeper Batsman Opening Karnay Aaey Thay Aur Phir Last Over Tak Kheltay Rahay. Mendis Ki Innings Main 5 Sixes Aur Itnay Hi Fours Shamil Thay. Doosra Koi Batsman Khaas Performance Nahi Day Saka. Charith Asalanka Nay 31 Runs To Banaey, Laikin 30 Balls Khel Kar.
Laikin Ductch Batsman To Un Say Bhi Gaey Guzray Niklay. Opener Max O’dowd Hi Chalay, Baqi Koi Sri Lankan Batsmen Jaisa Bhi Nahi Khela. Max Ki Innings Kamal Thi, 53 Balls Par 3 Sixes Aur 4 Fours Kay Sath Not Out 71 Runs. Laikin Doosray End Say Captain Scott Edwards Kay 21 Runs Kay Siwa Koi Nahi Chala. Isi Liay 20 Overs Main 9 Wickets Par Sirf 146 Runs Hi Ban Sakay.
Wanindu Hasaranga Nay Behtareen Bowling Ki Aur 32 Runs Day Kar 3 Wickets Hasil Keen.
Is Jeet Kay Sath Hi Sri Lanka Super 12 Round Main Puhanch Gaya Hay. Laikin Netherlands Ka Chance Bhi Abhi Khatam Nahi Hua Hay. Agar United Arab Emirates Apnay Match Main Namibia Ko Hara Day To Wo Bhi Super 12 Main Hoga. Max Ki Innings Dekhnay Kay Baad To Hamara Dil Bhi Yahi Chah Raha Hay Ke Netherlands Hi Super 12 Main Khelay.
Waisay Aap Ko Asia Cup 2022 To Yaad Hi Hoga. Sri Lanka Pehla Match Afghanistan Say Haara Tha Aur Us Kay Baad Aik Shikhast Bhi Nahi Khai Aur Champion Ban Gaya. Kaheen World Cup Main Is Ka Replay To Nahi Hoga?