America Mai Abortion Kai Mamlay Per Bauhat Baihaz Hoti Rahi Hay. June Mai Supreme Court Sai Abortion Per Pabandi Kai Baad Surat E Haal Nay Naya Rukh Ikhtiyar Kerlia.

Ameriki Media Ki Reports Mai Bataya Gaya Hay Kai Abortion Ko Qanoni Haq Na Dainay Kai Faisalay Kai Baad Abb Taak 66 Clinics Band Keyae Ja Chukay Hain.

Abortion Rights Kai Haq Mai Baat Kernay Wali Tanzeem Nay Baataya Hay Kai America Ki 15 States Mai Abortion Kerwanay Kai 79 Clinics Maujoud Thay. Yeh Woh States Hain Jahan Abortion Kai Sakht Law Maujoud Thay.

State Georgia Mai Sirf 13 Clinics Mai Abortion Kerwanay Ki Sahulat Maujoud Hay Aur Yeh Tadaad Phelae Sai Kahein Ziada Kam Hai. In Clinics Mai 6 Weeks Ki Pregancy Kai Baad Abortion Kerwanay Ki Ijazat Nahe Hoti.

Report Mai Bataya Gaya Hai Kai 15 States Mai 26 Clinics Mukamal Band Hochukay Hain Jab Kai Sirf 40 Clinics Mai Abortion Kai Ilawa Paidaish Kai Hawalay Sai Malomaat Faraham Ki Jarahi Hain.

America Ki 14 States Mai 2020 Kai Doraan 125000 Abortions Kiye Gaey Tahaam Ab In States Mai Abortion Per Mukamaal Pabandi Hai. Yeh Bhi Bataya Gaya Hay Kai In Riyasaton Mai Maujoud Abortion Ki Kahwaish Mand Khawateen Dosri States Mai Jaker Abortion Kerwanay Per Majboor Hain.

شیئر

جواب لکھیں