Imran Khan Nay Keya Kia, Shehbaz Sharif Nay Kiya Kaha Aur Asif Zardari Kion Chup Hain, Yeh Saab Tou Aap Roz Suntay Hain, Aaj Aap Ko Aik Bachay Lula da Silva Ki Kahani Sunatay Hain.
Yeh Bacha Dosri Class Main Tha Tou School Chourna Para. Brush Aur Polish Ka Box Sambhala Aur Sau Paulo Ki Roads Per Customers Talash Kernay Nikal Para.
Kabhi Iss Ko Dant Parti Tou Kabhi Log Dhatkar Daitay,Polish Kernay Bhi Iss Ko Theak Say Nahi Aati Thei,Customers Say Bhi Dant Kahta Tha. Kabhi Koi Iss Ko Polish Kernay Kay Baad Raqm Bhi Nahi Daita Tha.
Thora Bara Hoa Tou Godown Main Samaan Uthanay Laga. Kuch Dinn Baad Printing Press Main Job Mili Tou Wahan Machine Main Aker Chouti Ungli Kaat Gaey.
Yahan Say Nikala Gaya Tou Aik Lohay Kay Karkhanay Main Kaam Mil Gaya. Lula Ki Zindagi Main Koi Kamiyabi Nahi Thei. Na Taleem,Na Koi Hunar, Shakul Bhi Mamoli Say Bhi Kam,Ungli Bhi Kati Hoi,Yani Jo Mumkin Kami Hosakti Thei Who Us Main Thei.
Pehli Shadi:
Dukhon Bhari Zindagi Main Bus Maria Ki Khushi Maujod Thei. Bari Mushkil Say Raqm Jama Kerkay Kuch Ghar Aur Thikana Kia Aur 1969 Main Maria Say Shahdi Ki.
1971 Main Jaab Pehlay Bachay Ki Paidaish Honay Wali Thei Tou Maria Ko TB Hogaei Aur Woh Bachay Samait Inteqal Kergaei.
Lula da Silva Nay Baad Main 2 Shahdiyan Kein Mager Maria Ka Ghum Sari Zindagi Sath Raha. Aab Lula Ki Zindagi Main Factory Thei,Sath Mazdoar Thay Aur Unkay Masail Thay.
Uss Nay Mazdour Siyasat Main Hisa Lena Shuru Kerdia Aur Jald Hi Woh Apni Factory Union Ka President Baan Gaya.
Mulki Siyasat Main Entry:
Uss Kay Mulk Main Martial Law Tha. Union Kay Sathiyun,Kuch Danishwaron Aur Student Leaders Nay Dictator Ship Kay Khilaaf Jadojehad Ki. Iss Per Lula Ko Sathiyun Samait Jail Main Qaid Kerdia Gaya.
Jadojehad Jaari Rahi,Martial Law Ka Khatma Hogaya.Lula da Silva Aur Sathiyun Nai Mil Ker Siyasi Jaamat Banaei. Yeh Leftist Party Thei,Jis Ka Maqsad Ghareeb Ko Oper Uthana Aur Un Kay Masail Kaam Kerna tha.
Leftist Party Ko Itni Maqbouliyat Hasil Hoi Kay Lula da Silva Nay Presdential Election Main Contest Kiya.
Woh 2002 Aur 2006 Main 2 Baar President Bana. Us Nay Education,Health Aur Dosray Sectors Main Gharebon Ki Bhalai Kay Bauhat Say Mansoubay Shuru Kiye. Woh Popular President Tha Leken Phir Bhi Usko Na-Ehal Kerdia Gaya.
Lula Da Silva Per Corruption Cases:
Aik Case Main Court Nay Un ko Corruption Kai Ilzam Main Jail Bhejwa Diya. Akhir Is Hi Mulk Ki Adalaat Nay Uss Ki Taweel Jadojehad Kay Baad Uss Ko Clear Kerdia. Court Nay Tasleem Kiya Kay Judge Nay Tasub Ki Bunyaad Per Us ko Saza Di Thei.
Lula da Silva Ki Ghurbat Aur Ghareeb Say Muhabaat Hi Us Ki Dushman Thei. Mulk Ki Ashrafiya Aur Army Sakht Khilaf Thei Leken Woh Daataa Raha.
Kuch Roz Pehlay Brazil Main Dobara Presidential Elections Hoay Aur Lula da Silva Teesri Baar Latin America Kay Iss Saab Say Baray Mulk Ka President Baan Gaya..
2 Jamaat Pass,Boot Polish Kernay Wala Bacha, Jis Ki Ungli Bhi Kaati Hoi Hay, Woh Dobara President Of Brazil Hay.