Jhootay Daway Aur Conspiracy Theories Mehngi Parr Gaeen. Badnaam Conspiracy Theorist Alex Jones Par Taqreeban 1 Billion Dollars Ka Jurmana Laga Dia Gaya Hay.

Unhon Nay Kaha Tha Kay Sandy Hook School Shooting Asal Main Hui Hi Nahi Thi. Jis Par Un Par Muqadma Kar Dia Gaya Tha. Jis Kay Faislay Main Unhain 96.5 Crore Dollars Yani Taqreeban 1 Arab Dollars Ka Jurmana Kia Gaya Hay.

Jones Right Wing Ki Badnaam Website Infowars Say Taluq Rakhtay Hain, Jis Nay Kaha Tha Ke 2012 Main Honay Wali Ye Shooting Asal Main Staged Thi. Aur Marnay Walon Kay Rishtaydar Asal Main Actors Thay Jinhain Hire Kia Gaya Tha, Takay Gun Laws Ko Change Kia Ja Sakay.

Is Conspiracy Theory Ke Samnay Aanay Par Marnay Walay 28 Afraad Main Say 5 Bachon Aur 3 Teachers Ki Families Nay Alex Jones Par Case Kar Dia Tha.

Hearing Main In Parents Nay Bataya Ke Kai Saal Tak Jones Ki Baton Ko Such Samajhnay Walon Ki Taraf Say Unhain Dhamkian Di Gaeen Aur Harass Kia Gaya. Log Un Kay Gharon Tak Puhanch Gaey. Social Media Par Unhain Gaalian Di Gaeen. School Principal Dawn Hochsprung Ki Beti Erica Lafferty Nay Bataya Ke Unhain Rape Threats Tak Mileen. Mark Barden Nay Bataya Ke Conspiracy Theorists Nay Un Kay 7 Sala Betay Ki Qabr Ki Bay Hurmati Ki Aur Laash Nikaalnay Ki Dhamki Tak Di.

Trial Main Tou Jones Nay Tasleem Kia Ke Sandy Hook Shooting Ke Baray Main Un Ki Baat Ghalat Thi. Laikin Courtroom Aur Apnay Show Main Wo Wohi Raag Alaptay Rahay. Unhon Nay Adalat Ko ‘Kangaroo Court‘ Qarar Diya, Judge Ka Mazaq Urraya Aur Case Ko Free Speech Kay Khilaf Qarar Dia.

Ab Jones Ko Sandy Hook Shooting Main Marnay Walay Aik Aur Bachay Kay Parents Kay Case Ka Samna Karna Parray Ga. Itna Barra Jurmana Wo Kaisay Dain Gay, Ye to Nahi Pata Laikin Jones Pehlay Hi Bankrupt Honay Ka Ailan Kar Chukay Hain.

شیئر

جواب لکھیں