Taqreeban 25 Saal Baad Indian National Congress Ki Qayadat Gandhi Khandan Ke Haath Se Nikal Gayi.
Party Election Main Malikarjun Kahrgay Ko Sadar Muntakhib Kar Liya Gaya. Unhen 9385 Main Se 7897 Numaindon Ne Vote Diya. Un Ke Muqablay Main Maroof Rehnuma Shashi Thrur Thay Jin Ko 1072 Vote Milay.
Bharti Wazir-e-Azam Narendra Modi Ne Malikarjun Kahrgay Ko Kamyabi Per Mubarkbad Di Jis Per Unhon Ne Shukria Ada Kiya.
Gandhi Dynasty
Indian National Congress Bharat Ki Sab Se Purani Siyasi Jamat Qarar Di Jati Hay. Guzishat 44 Saal Main Se 38 Saal Se Is Jamat Ki Qayadat Gandhi Khandan Ke Paas Rahi Hay.
India Ke Pehle Wazir-e-Azam Pandit Jawahir Laal Nehru Ki Baiti Indria Priyadarshini Ne 1942 Main Feroz Gandhi Se Shadi Ki Thi Aur Us Ke Baad Se Indra Gandhi Kehlanay Lagi Theen. Feroz Gandhi Ki Mohan Das Gandhi Se Koi Rishtay Dari Nahi Thi. Gandhi Surname Ki Wajas Se Ye Family Nehru Gandhi family Kehlati Hay Aur India Main 75 Saal Main Se 40 Saal Tak Isi Khandan Ki Hukumat Rahi Hay. Is Ke Saath Saath Party Ki Sadart Bhi Zyada Tar Isi Khandan Ke Paas Rahi Hay.
Indra Gandhi Ne 1978 Se 1984 Tak Party Ki Sadarat Ki. Un Ke Baad Un Ke Baitay Rajiv Gandhi Ne 1985 Se 1991 Tak Ye Mansab Sanbhala. 6 Saal Baad 1998 Main Party Sadarat Rajiv Gandhi Ki Bewa Sonia Gandhi Ko Mil Gayi. Us Ke Baad 2017 Tak Sonia Gandhi Hi Party Ki Sadar Raheen. Sonia Ke Baad Bhi Mansab Khandan Main Hi Raha Aur 2017 Main Rahul Gandi Ko Sadar Muntakhib Kiya Gaya. 2019 Main General Election Main Shikast Ke Baad Rahul Gandhi Ne Congress Ki Sadarat Se Istefa De Diya Tha. Us Ke Baad Sonia Ganhi Nigran Sadar Ke Tor Per Party Ko Chala Rahi Theen.
Mukhalfeen Ab Bhi Ye Ilzam Laga rahay Hain Ke Malikarjun Kahrgay Sirf Aik Kathputli Hain. Party Per Control Ab Bhi Sonia Aur Rahul Gandhi Ke Paas Hi Rahay Ga.