Sab Passport Aik Jaisay Nahi Hotay. Na Rang Aur Design Mein Na Usefulness Mein. Duniya Mein Sab Se Ziyada Taaqatwar Passport Wo Mana Jata Hai Jo Agar Aap Ke Paas Ho To Aap Duniya Ke Ziyada Se Ziyada Mumalik Mein Baghair Visa Ya Visa on Arrival Par Ja Saktay Hain. Western Aur Developed Mulkon Ko Ye Bohat Arsay Se Ye Aizaz Hasil Hai Ke Un Ka Passport Rakhnay Wala Fard Duniya Mein Azadi Se Ghoom Phir Sakta Hai. Ab Ye Aizaz Aik Muslim Mulk UAE Ko Hasil Ho Gaya Hai Jis Ke Shehri Baghair Visa Ya Visa On Arrival Par 180 Mulkon Mein Jasaktay Hain. Dusri Janib Duniya Ka Sab Se Kamzor Passport Bhi Aik Muslim Mulk Ka Hai, Afghanistan Ke Shehri Baghair Visa Ya Visa On Arrival Par Sirf 38 Mulkon Ka Safar Kar Satke Hain.

Itnay Baray Gap Ke Bawajood Haqeeqat Ye Hai Ke Pichlay Saal Ke Muqablay Mein Duniya Ke Har Mulk Ka Passport Power Full Hua Hai.

Passport
Sab Se Tagra Passport Kis Ka? 1

Passport Index Ki Latest Update Ke Mutabiq Vanuatu Ke Ilawa Har Mulk Ke Shehrion Ki Safri Azadi Mein Izafah Hua Hai.

On Average Har Mulk Ke Passport Holder Last Year Ki Nisbat 16 Izafi Mulkon Ko Ja Saktay Hain.

Passport Index Ke CO-Founder Hrant Boghossian Isay Umeed Afza Qarar Detay Hain. Un Ka Kehna Hai Ke Duniya Ne Openness Ka Jo Benchmark Pandemic Se Pehlay Set Kya Tha Woh Kamyabi Se Haasil Kar Liya Gaya Hai. Mazboot Isharay Mil Rahay Hain Ke Safari Azadi Ka Yeh Trend Oopar Ki Janib Jata Rahay Ga.

Unhon Ne Mazeed Kaha Ke Aik Aisay Waqt Mein Jab Geopolitical Tension Aur Economic Turmoil Barh Raha Hai Aisay Mein Openness Barhna Ye Ishara Day Raha Hai Ke Duniya Manti Hai Ke Sarhadoon Ki Pabandiyan Kam Honay Se 21st Century Ke Challenges Se Nimatnay Mein Madad Millti Hai.

Index Compile Karne Walon Ke Mutabiq Passports Ki Taaqat Mein Izafa Covid-19 Ki Pabandiyan Khatam Honay Ki Wajah Se Bhi Hua Hai. Aur Is Ki Aik Wajah Yeh Bhi Hai Ke Safari Azadi Ko Farogh Diya Ja Raha Hai Aur Digital Nomad Ke Tor Par Work From Any Where Ki Maqboliat Barh Rahi Hai.

Kis Mulk Ka Passport Most Valuble Hai?

Over All Growth Ke Bawajood Ab Bhi Mukhtalif Mulkon Ke Passports Mein Bohat Bara Mobility Gap Hai. Taqatwar Passport Walay Ke Paas Agar Sahih Documets Hon To Kisi Bhi Check Post Se Aaram Se Guzar Jata Hai. Magar Kam Taqatwar Passport Walay Ke Liye Darwazay Band Ho Jatay Hain .

Passport Index Ke Mutabiq Duniya Ke 10 Taaqatwar Tareen Passports Mein Se 9 European Mulkon Ke Hain.

1. United Arab Emirates

Raftar Bharne Do
UAE Ka Passport Dunya Main Most Powerful Hay, 180 Mulkon Ka Access Milta Hay.

Visa free: 121

Visa on arrival: 59

2. Germany

Visa free: 127

Visa on arrival: 46

3. Sweden, Finland, Luxembourg, Spain, France, Italy

Raftar Bharne Do
Swedish Passport Walon Ko Bhi 173 Mulk Welcome Kartay Hain

Visa free: 126

Visa on arrival: 47

4. Netherlands

Visa free: 125

Visa on arrival: 48

5. Switzerland

Visa free: 123

Visa on arrival: 50

Kon Se Passport Sab Se Kamzor Hain?

Passport Index Ke Last 10 Mein Se 9 Mulk Muslim Aksariyat Walay Mulk Hain. Un Mein Libya (50), Palestine (50), North Korea (50), Bangladesh (49), Yemen (45), Somalia Shaamil Hain.

Pakistan Ka Passport Rakhnay Walay Jin Mulkon Mein Baghair Visa Ke Jasaktay Hain Un Mein Ziyada Tar African Mulk Hain. Developed Mulkon Mein Sirf Qatar Aur Malaysia Aisay Mulk Hain Jo Pakistanio Ko On Arrival Visa Detay Hain.

شیئر

جواب لکھیں