96 Test Matches, 7,000 Say Zyada Runs, 19 Centuries, 35 Fifties Aur Sab Say Barh Kar 302 Runs Ki Wo Not Out Innings Jis Nay Azhar Ali Ko Hanif Muhammad, Inzamam Ul Haq Aur Younis Khan Jaisay Legends Kay Sath Khara Kardia.

Aaj Azhar Ali Nay Test Cricket Say Retirement Ka Ailan Kardia Hay. England Kay Khilaf Series Ka 3rd Test Azhar Ka Aakhri Test Hoga. Youn Pakistan History Ka Aik Unsung Hero 100 Test Khelay Baghair Cricket Chhor Jaey Ga.

Azhar Ali Nay Pakistan Kay Liay Us Waqt Debut Kia Tha Jab Aik Toofan Tham Chuka Tha, Aur Doosra Shuru Honay Wala Tha. 2009 Mein Sri Lanka Cricket Team Par Terrorist Attack Hua, Jis Say Pakistan Say International Cricket Ka Khatma Hogaya. Next Year Pakistan Ko Australia Kay Against Apni Home Series England Mein Khelna Pari, Jis Ka Lord’s Mein Khela Gaya Pehla Test Hi Azhar Ka Debut Tha. Pakistan Nay Ye Test To Barabar Kia Laikin 25 Saal Kay Azhar Ko Bilkul Andaza Nahi Tha Ke Aagay Kaun Sa Naya Toofan Janam Lainay Wala Hay.

2010 Mein England Kay Isi Tour Par Pakistan Cricket History Ka Sab Say Bara Scandal Samnay Aaya. Spot Fixing Nay Pakistan Cricket Ko Hamesha Kay Liay Badal Dia. Phir, Misbah Ul Haq Ki Kaptani Mein Pakistan Phir Say Utha, Aur Next 6 Saalon Mein Pakistan Test Ka No. 1 Ban Chuka Tha, Usi Saal Jisay Azhar Ali Ka Saal Kehna Chahiye.

Azhar Nay 2016 Mein 63 Kay Batting Average Say 1198 Runs Banaey Thay. Jin Mein Aik Triple Aur Aik Double Century Bhi Shamil Thi, Aur Donon Not Out.

Us Kay Baad Azhar Kabhi Wo Urooj Haasil Na Kar Sakay. 2022 Mein Australia Kay Against Historic Rawalpindi Test Mein 185 Runs Un Ki Akhri Bari Innings Thi. Girti Hui Performance Nay Finally Unhain 100th Test Say Pehlay Retire Honay Par Majboor Kardia Hay.

Azhar Ali Ki Yadgaar Innings

Azhar Nay Apnay Career Mein 19 Centuries Score Keen, Jin Mein 2 Double Aur Aik Historic Triple Century Bhi Shamil Thi. Laikin Agar Hum Un Ki Top 5 Innings Dekhain To Ye Hongi.

157 vs England, 2012

Azhar Ali
(Photo: Getty Images)

2012 Mein England Kay Khilaf Dubai Test Pakistan History Kay Yadgaar Muqablon Mein Say Aik Tha. Pakistan Is Match Ki Pehli Innings Mein Sirf 99 Par All Out Ho Gaya Tha. Second Innings Mein Bhi Sirf 28 Runs Par 2 Out Thay, Jab Azhar Ali Nay Younis Khan Kay Sath Mil Kar Match Ka Naqsha Hi Palat Dia. Un Ki 157 Runs Ki Innings Ki Madad Say Pakistan Match Mein Aisa Wapis Aaya Ke 71 Runs Say Jeet Kar Hi Dam Lia. Pakistan Nay England Ko Ye Series 3-0 Say Harai Thi, Jo Us Kay Khilaf Pakistan Ka Pehla Clean Sweep Tha.


103 vs Sri Lanka, 2014

Azhar Ali
(Photo: AFP)

Ye 2014 Ki Pak-Lanka Series Ka Third Test Tha. Pakistan Ko Aakhri Din Lunch Par 302 Runs Ka Target Mila, Wo Bhi Sirf 59 Overs Mein. 48 Par 2 Aur Out Huay To Laga Pakistan Ab Chase Kay Liay Nahi Jaey Ga. Laikin Series Mein 1-0 Say Peechay Honay Ki Waja Say Pakistan Kay Paas Doosra Koi Raasta Bhi Nahi Tha. Azhar Nay Yahan 137 Balls Par 103 Runs Ki Zabardast Innings Kheli, Jis Nay Pakistan Kay Liay Chase Open Kardia. Akhir Mein Sarfraz Aur Misbah-Ul-Haq Ki Tez Batting Nay Pakistan Ko 58th Over Mein Target Tak Puhancha Dia. Youn Aakhri Din Kay Aakhri Session Kay Aakhri Lamhat Mein Pakistan Nay Target Haasil Karlia, 5.25 Kay Run Rate Say Score Kartay Huay. Aakhri Baar Aap Nay Pakistan Ko Aisa Kheltay Kab Dekha Hay? Aur Haan! Azhar Yahan Bhi Man Of The Match Thay.


302* vs West Indies, 2016

Azhar Ali
(Photo: Getty Images)

Ye West Indies Kay Khilaf Series Ka Pehla Test Tha, Jis Ka Start Hi Kamal Tha. Azhar Ali Nay Sami Aslam Kay Sath 215 Runs Ki Opening Partnership Di. Phir Khud 100 Say 200 Aur Akhir Mein 300 Ka Milestone Bhi Paar Kar Gaey. Aur Ban Gaey Hanif Muhammad, Inzamam Ul Haq Aur Younis Khan Kay Baad Pakistan Kay Liay Triple Century Bananay Walay 4th Batsman. Unhon Nay 469 Balls Par 23 Fours Aur 2 Sixes Ki Madad Say Ye Innings Kheli Aur Pakistan Nay 579-3 Par Innings Declare Kardi. Aakhir Mein Ye Match Winning Innings Sabit Hui. Aur Player Of The Match Azhar Kay Ilawa Kaun Ho Sakta Tha?

Pakistan Kay Liay Triple Century Bananay Walay Batsmen
RunsBalls4s6svsYear
Hanif Muhamad337-240Raftar Bharne Do WI1958
Inzamam-ul-Haq329436389Raftar Bharne Do NZ2002
Younis Khan313568274Raftar Bharne Do SL2009
Azhar Ali302*469232Raftar Bharne Do WI2016

205* vs Australia, 2016

Azhar Ali
(Photo: AFP)

Usi Saal Pakistan Nay Australia Ka Tour Kia. 2nd Test Boxing Day Yani 26 December Say Melbourne Mein Shuru Hua. Azhar Opening Kay Liay Maidan Mein Utray Aur Phir Tareekh Raqam Kar Gaey. Jab Aik End Say Koi Nahi Khel Pa Raha Tha, Azhar Nay Not Out 205 Runs Banaey. Pakistan Ye Match To Nahi Jeet Saka Laikin Azhar Australia Ki Sarzameen Par Double Century Bananay Walay Pehlay Pakistani Zarur Banay.


141* vs England, 2020

Azhar Ali
(Photo: Getty Images)

Pakistan-England Series Ka 3rd Test. Pakistan Waisi Hi 1-0 Say Peechay Tha. Phir England Nay First Innings Mein 583 Runs Maar Diay Aur Pakistan 30-4 Out. Mushkil Tareen Halaat Mein Azhar Aik End Say Jam Gaey. Pakistan Ko Follow-On To Hua, Laikin Ye Azhar Ki 272 Balls Par 141 Runs Ki Not Out Aur Captain Innings Thi Jis Nay Pakistan Kay Liay Ye Match Draw Karna Mumkin Banaya. Pakistan Akhir Mein Match To Bacha Gaya, Laikin Series Nahi Bacha Saka.

Laikin Har Innings Say Bharh Kar Azhar Ali Ka Asal Karnama Hay Us Waqt Pakistan Cricket Ko Sanbhalna, Jab Lagta Tha Yahan Cricket Hamesha Kay Liay Khatam Ho Jaey Gi. Usay Aik Disgrace Say World No. 1 Banaya. Is Par Azhar Ali Ko Salam!

شیئر

جواب لکھیں