Financial Action Task Force (FATF) Kay Working Group Aur Plenary Meetings 20 Aur 21 October Ko Paris Main Hon Gi.

Iss Meeting Main Pakistan Ko Grey List Say Nikalnay Kay Hawalay Say Bhi Faisala Kia Jaye Ga.

Meeting Kay Ikhtitam Per FATF Kay President Raj Kumar Press Conference Karain Gay Jis May Pakistan Kay Hawalay Say Ahem Ilan Mutawaqu Hay.

Pakistan Ko June 2018 Ko Monitoring List Main Shamil kia Gia Tha

Pakistan Ki Taraf Say 27 Points Action Plan Per Amal Daramad Ki Yaqeen Dahani  Karai Gai The, Kuch Arsay Baad Action Points 34 Ker Diye Gaye.

Pakistan Nay Action Plan Per FATF Ki 40 Recommendations Ki Roshni Main Kaam Shuru Kiya Aur Kamayabi Say Mukamal Kiya.

Pakistan FATF Ki 40 Recommendations Main 38 Puri Ker Chuka Hay.

Imkaan Hay Kai Pakistan Ko 21 Oct Ko Achi Khabar Milay Gi.

شیئر

جواب لکھیں