Wazeer Khazana Ishaq Dar Nay Kaha Hay Kai Pakistan Apnay Saray Loans Waqt Per Ada Kerdai Ga Aur Iss Hawalay Sai IMF Ki Ghalt Fehmi Dour Kerdi Hay.

Voice Of America Ko Interview Daitay Hoay Ishaq Dar Nay Kaha Hum Nay Siyasat Kai Bajai Riyasat Bachanay Ka Faisala Kiya Jis Ki Qeemat Hum Ko Ada Kerna Par Rahi Hay.

Wazeer Khazana Nay Bataya Kai Moujouda Government Ki Tawaju Basic Issues Per Hay Jis Mai Currency Ki Value Mustehkum Rakhna Awaleen Tarjeeh Hay.

Dollar Say Mutaliq Ishaq Dar Ka Kehna Tha Kai American Currency Ki Asal Qadar Rs.200 Say Neechay Banti Hay Aur Pakistan Mai Iss Hawalay Say Stake Holders Say Baat Kerain Gay.

UnHonay Khabardar Kerdia Kai Dollar Ki Qeemat Per Satay Bazi Kernay Walay Afraad , Banks Aur Financial Institutions Kai Khilaaf Bhi Action Hoga.

Inflation, Yani Mehngai , Per Ishaq Dar Nay Kaha Kay Pakistan Mai Haliya Mehngai Ki Asal Waja Export Ki Janay Wali Basic Cheezon Ki International Market Mai Ziada Qeematain Hain. Mulk Mai Dollar Ki Qeemat Asal Qadar Per Lanay Say Mehngai Kafi Had Tak Kam Hogi.

شیئر

جواب لکھیں