Naya iPhone 14 Waqai Mehgna Hay, Laikin 15 Saal Puranay First Generation iPhone Ki Qeemat To Is Say Bhi Ziyada Lag Gai Hay.

Apni Original Packing Main, Yani Dabba Pack, Mojood iPhone 1 Aik Auction Main 39,339 USD Main Neelam Hua Hay.

Ye Phone 2007 Main Launch Hua Tha. Jisay Ab US State Louisiana Ki Aik Company LCG Auctions Nay Neelam Kia Hay.

Company Kay Founder Mark Montero Kay Mutabiq Hamain Umeed Thi Ke Ye Achhi Qeemat Par Jaey Ga. Aur Phir Boli 10,000 Say Barhtay Barhtay Yahan Tak Puhanch Gai.

LCG Auctions Nay Auctioned iPhone Kay Description Main Likha Tha Ke Ye iPhone Hamari Zindagi Ki Sab Say Important Aur Behtareen Invention Hay, Jis Nay Smartphone Industry Ko Badal Kar Rakh Dia Aur Time Magazine Nay Isay 2007 Main Invention Of The Year Qaraar Dia Tha.

Neelam Kia Gaya Phone “Brand New, Never Activated Aur Flawless” Tha, Kaha Gaya Ke Collectors Aur Investor Ka Liay Is Say Behtar Piece Dhoondhna Mushkil Hoga.

Raftar Bharne Do

iPhone 1 Aaj Say 15 Saal Pehlay $599 Ki Qeemat Par Launch Kia Gaya Tha. Is iPhone Main 4 Ya 8 GB Ki Storage Hoti Thi, Screen Sirf 3.5 Inch Ki, Camera Sirf 2 Megapixel Ka Aur Apps Bhi Buhat Kam Hoti Theen.

Yani Ye Kisi Bhi Tarah Aaj Kay Kisi Phone Ka Muqabla Nahi Kar Sakta, Laikin Collectors Ki Nazar Main Is Ki Buhat Value Hay, Jis Ka Andaza $39,339 Yani Pakistan Rupees Main 85 Lakh 45 Hazaar Rupees Say Lagaya Ja Sakta Hay. Naey iPhone 14 Ki Ziyada Say Ziyada Qeemat Is Waqt 999 USD Hay.

شیئر

جواب لکھیں