T20 World Cup 2022 Main Netherlands Nay Khatarnaak Namibia Ko Hara Dia Hay, Yoon Us Ka Aik Step Ab Super 12 Round Main Hay.

Last Match Main Sri Lanka Ko Haranay Wala Namibia Aaj Waisa Khel Paish Nahi Kar Saka Aur Sirf 122 Runs Ka Target Dia. Jo Netherlands Nay Bas De Leede Kay Run-A-Ball 30 Ki Madad Say Last Overs Main Hasil Kar Lia.

Geelong Main Honay Walay Is Important Match Main Namibia Nay Toss Jeet Kar Pehlay Khud Batting Karnay Ka Faisla Kia. Netherlands Ki Behtareen Bowling Kay Samnay Us Ki Aik Nahi Chali. Powerplay Main Hi Namibia Kay 3 Out Ho Gaey Aur Aik Baar Phir Responsibility Jan Frylinck Ka Kandhon Par Aa Gai.

Frylinck Nay 48 Balls Par 43 Runs Banaey, Jis Main Namibian Innings Ka Wahid Six Bhi Shamil Tha. Laikin 20 Overs Pooray Honay Par Bhi Scoreboard Par Sirf 121 Runs Hi Mojood Thay, Jo Netherlands Ko Roknay Kay Liay Kafi Nahi Thay.

Phir Netherlands Ka Start Hi Zabardast Tha. Max O'Dowd Aur Vikramjit Singh Ki 59 Runs Ki Opening Partnership Rahi. Jis Main Vikramjit Kay 31 Balls Par 39 Runs Thay. Wo 2 Sixes Aur 3 Fours Laganay Kay Baad 9th Over Main Out Huay. Phir Bas De Leede Maidan Main Aaey Aur Chase Ko Aakhir Tak Lead Kia.

Waisay To Netherlands Buhat Sukoon Say Target Ki Taraf Barh Raha Tha, Laikin 16th Over Main 100 Runs Ka Milestone Paar Karktay Hi Aur Top Cooper Kay Out Hotay Hi Match Zara Phans Sa Gaya. Thori Hi Dair Main Colin Ackermann Aur Scott Edwards Bhi Out Ho Gaey.

Yahan De Leede Nay Tim Pringle Kay Sath Mil Kar Team Ko Pareshani Say Nikala. Yahan Tak Ke Last Over Ki 3rd Ball Par Netherlands Target Tak Puhanch Gaya.

Bas De Leede Nay Aaj All-Round Performance Di. Behtareen Bowling Bhi Ki, 3 Overs Main 18 Runs Day Kar 2 Wickets Leen Aur Phir Not Out 30 Runs Kay Sath Manzil Tak Bhi Puhanchaya. Yahi Waja Hay Ke Unhain Man Of The Match Award Mila.

Netherlands Ab First Round Ka Last Match Sri Lanka Say Khelay Ga, Jo Zahir Hay Aik Mushkil Match Hoga. Yahi Waja Hay Ke Wo Chahta Hay Sri Lanka Aaj United Arab Emirates Kay Khilaf Apna Match Haar Jaey. Agar Aisa Hua To Netherlands Aaj Hi Super Round Main Puhanch Jaey Ga.

Laikin Namibia Aisa Bilkul Nahi Chahta, Wo Pehlay Hi Sri Lanka Ko Hara Chuka Hay Aur Us Ka Last Match Bhi UAE Kay Khilaf Hay. Is Liay Wo Aaj Sri Lanka Ki Jeet Chahta Hay Aur Phir Last Match Main UAE Ko Hara Kar Qualify Karna Chahta Hay.

First Round Kay Donon Groups Ki Top 2 Teams Super 12 Round Main Jaen Gi.

شیئر

جواب لکھیں