America Nay Pakistan Kay Atomic Program Per Etemaad Ka Izhar Kerdia Hay. State Department Nay Kaha Hay Kai Pakistan Kai Pass Atomic Program Ko Chalanay Ki Salahiyat Hay.

President Joe Biden Kai Pakistan Say Mutaliq Bayan Kai Baad US State Department Ki Taraf Sai Aik Naya Bayan Diya Gaya Hay.

Monday Ki Raat,US State Department Kay Spokesman Vedant Patel Nay Press Briefing May Reporter Ko Bataya Kay America Pur Etemaad Hay Kay Pakistan Kai Pass Atomic Program Chalanay Aur Uss Ko Control Kernay Ki Salahiyat Hay.

Unhonay Kaha Kay America Hamesha Aisa Samajta Hay Kay Mehfooz Aur Taraqi Kerta Pakistan America Kay Mafadaat Kay Liya Ehaam Hay.

State Department Kay Tarjuman Nay Pakistan Kay Sath Taweel Muda’ati Taluqaat Ko Bhi Saraha.

14 October Ko Democratic Congressional Campaign Committee Ki Taqreeb Say Khitaab May American President Joe Biden Nay Kaha Tha Dunya Ka Siyasi Manzar Nama Tezi Say Badal Raha Hay Kayi Mulk Apne Ittehad Kay Baare May Ghaur Kar Rahay Hain.

Joe Biden Russia Aur China Ka Zikr Kartay Howe Pakistan Ko Bhi Ghaseet Liya . Kaha Pakistan Dunya Kay Khatarnak Mulkon Main Shamil Hay Jis Ka Nuclear Program Bhi Ghair Munazzam Hai.

شیئر

جواب لکھیں