Foreign Exchange Act Ke Tehat Darj Muqadmay Main Hifazati Zamanat Ke Liye Imran Khan Ki Darkhwast Ki Islamabad High Court Main Sama’at Hui.

Adalat Ne Chairman PTI Imran Khan Ki Zamanat Ki Darkhwast Ghair Muassar Honay Par Nimta Di.

Islamabad High Court Ke Cheif Justice Athar Minallah Ne Case Ki Samaat Ki. Imran Khan Ki Hazri Se Istisna Ki Darkhwast Manzur Kar li Gayi.

Chief Justice Ne Kaha Ke Justice Mohsin Akhtar Kiyani Ki Adalat Trial Court Ka Dair-e-Ikhtiyar Dekhe Gi.

Wakeel Salman Safdar Ne Kaha Ke Imran Khan Ne Kal Trial Court Ke Samnay Surrender Kardiya Hay. Is Per Adalat Ne Kaha Ke Phir Tou Case Hi Ghair Muassar Ho Gaya.

Imran Khan Ke Wakeel Ne Kaha Ke Adalat Ke Samnay 2 Point Rakhna Chahta Hun, Phir Adalat Faisala Kar Day.

Wakeel Salman Safdar Ne Bataya Ke Justice Mohsin Akhtar Kiyani Ki Adalat Main Ye Muamla Zair-e-Iltiwa Hay. Justice Mohsin Akhtar Nay Trial Court Se Report Mangi Hay.

Adalat Nay Kaha Kay Isi Qisam Ke Case Main Shareek Mulzim Ka Case Zer-e-Iltiwa Hay Tou Wo Muamla Tou Hal Ho Jaye Ga.

Adalat Ne Aik Aur Court Ke Paas Muamla Zer-e-Iltiwa Honay Ki Bina Par Darkhwast Nimta Di.

شیئر

جواب لکھیں