Election Commissioner Mafia Ka Hissa Hay, Imran Khan

Sabiq Wazir-e-Azam Imran Khan Ka Kehna Hay Kay Election Commissioner Nay Sazish Aur Mafia Ka Hissa Ban Kar Faisla Kiya. Mujhay Pehlay Say Pata Tha Kay Election Commision Na Ehal Kar Day Ga.

Video Paigham Main PTI Chairman Nay Kaha Kay Election Commision Kay Janibdarana Faislay Kay Khilaf Qaum Sarkon Par Nikli Is Par Shukria Ada Karta Hun.

Tosha Khan Main Koi Qanoon Nahi Tora, Imran Khan

Unhon Nay Kaha Kay Tosha Khana Say Paisay Day Kar Tahaif Khareedna Qanoon Kay Mutabiq Hay Aur Is Ka Sara Record Hota Hay.

Election Commision Kay Faislay Kay Khilaf Adalat Ja Rahay Hain, Adalat Main Kuch Bhi Ghair Qanooni Sabit Nahi Hoga Kiunkay Sara Record Dastyab Hay.

Tosha Khana Ka Qanoon Tou Asif Zardari Aur Nawaz Shareef Nay Tora Jinhon Nay 4 Mehngi Gaarian Nikalwaeen. Qanoon Kay Mutabiq Koi Gari Nahi Lay Sakta. Un Ka Case Nahi Suna Gaya Halankay Wo Case 10 Saal Say Laga Hua Hay.

Mafia Mujhe Bahar Karna Chahta Hay, Imran Khan

Imran Khan Nay Election Commissioner Par Tanqeed Kartay Huye Kaha Kay Ye Aadmi Dhai Saal Say Hamaray Khilaf Faislay Day Raha Hay. 8 Ya 9 Dafa Hamary Khilaf Faisla Diya Hum Adalat Main Gaye Tou Faislay Hamaray Haq Main Aaye Kiunkay Election Commissioner Kay Faislay Ghair Janibdar Nahi Thay.

Chairman PTI Ka Kehna Tha Kay Shuru Se In Logon Ki Koshish Thi Ke Imran Khan Ko Nikaal Bahar Kardo, In Ko Pata Chal Gaya Kay Awam Hamaray Sath Kharray Hain, Abhi Election Main Mushtarka Umeedwar Khara Karkay Phir Bhi Haar Gaye.

Unhon Ne Kaha Ke Mafia Pakistan Ki Wifaqi Party Ko Khatam Karnay Ki Koshish Kar Rahi Hay. Mulk Ki Tareekh Ki Takleef Deh Baat Wo Thi Jab Mashriqi Pakistan Alag Hua Kyunkay Jis Party Ko Mandate Mila usi Ko Khatam Karnay Ki Koshish Ki Gayi.

Ye Phir Koshish Kar Rahay Hain Kay Jo Jamat Federation Ko Ikatha Rakh Sakti Hay Usi Ko Khatam Kar Do, Kisi Tarah Imran Khan Ko Na Ehal Kar Do. Sirf Aur Sirf Mera Munh Band Karnay Kay Liye Muqadmat Banaye Ja Rahay Hain.

Long March Isi Mahinay Hoga, Imran Khan

Unhon Ne Kaha Kay Sab Muzahireen Ka Shukriya Ada Karta Hun Aur Un Se Kehta Hun Kay Ehtijaj Khatam Karen Kyunkay Log Is Waqt Mushkil Main Hain Aur Main Nahi Chahta Log Mushkilaat Ka Shikaar Hon.
Imran Khan Ne Kaha Kay Meri Zindagi Ka Maqsad Is Mafia Ka Muqaabla Karna Hay. Aap Sab Tayyari Karen, Main Ne Kaha Tha Mahinay Kay Aakhir Main Long March Karoon Ga. Main Aap Ko Call Dun Ga Aur Ye Mulk Ki Tareekh Ka Sab Say Bara Ehtijaj Hoga. Haqeeqi Azadi Ki Tehreek Chalti Rahay Gi Jab Tak Qanoon Ki Baladasti Nahi Hoti.

شیئر

جواب لکھیں