Kenya Kay Media Kay Mutabiq Muqami Police Nay Bataya Hay Kay Arshad Sharif Ko Aik Check Point Per Shankhat Main Ghalat Fehmi Ki Waja Say Firing Ka Nishana Bana Gaya.

Jo Tehreeri Bayan Jari Kiya Gaya Iss Kay Mutabiq Ye Waqiya Sunday Ki Raat 10 Bajay Paish Aya.

Kenya Kay Kay Ilaqa Mukadi Kay Police Station Main Wireless Kay Zariyae Paigham Mosoul Hoa Kay Nairobi Say 2 Ghantay Kay Faslay Per Aik Sunsaan Jagha Per Firing Kay Waqiye Main Ghairmulki Shehri Ki Maut Waqe Hoi Hay.

Iss Waqie Main Muqami Forces Kay GSU Officers Shamil Thay Jin Honay Arshad Sharif Ki Car Per Firing Ki.

Jis Car Main Arshad Sharif Safar Ker Rahay Thay Who Mukadi Say Nairobi Jarahi Thei. Car Ka Number KDG 200M Tha Aur Yeh Right Hand Drive Car Thei.

Local Media Kay Mutabiq, Yeh Waqaiya Jis Waqt Paish Aya,Uss Waqt Pangani Kay Area May Aik Bachay Ko Kidnap Honay Per Anay Janay Wali Gariyun Ki Checking Ki Jarahi Thei.  

Police Ko Kidnap Honay Walay Bachay Ko Aik Gari Mai Lai Janay Ki Information Mili Thei. Yeh Gari Douglas Wania Naami Shakhs Ki Thei Jo Aik Electric Ki Shop Kay Bahar Chour Ker Gaya Aur Wapsi Mai Uss Ki Gari Wahan Nahe Thei. Jis Gari May Arshad Shareef Safar Ker Rahay Thay, Who Bhi Waisi Hi Gari Thei.

Iss Wardat Ki Information Pangani Kay Police Station Main Ki Gaei Jis Kay Baad Police Nay Action Liya. Nairobi Main Jis Muqam Per Yeh Firing Ka Waqiya Paish Aya,Woh Jagha Tonga Market Kay Qareeb Bataei Jaati Hay. Police Nay Jaab Mazeed Tehqeeq Ki Tou Maloom Hoa Kay KDG 200M Car Ko Khurram Ahmed Naam Ka Shakhs Chala Raha Tha Aur Arshad Sharif Bhi Uss Gari Main Maujod Thay.

Jis Waqt Yeh Gari Caisaryan Mukadi Road Per Pauhanchi Tou Kisi Nay Road Ko Pathar Laga Ker Band Kiya Hoa Tha. Us Waqt, Us Jagha Per Firing Shuru Hogai. Uss Doraan Driver Nay Rukawaton Kay Bawajoud Gari Bhaganay Ki Koshish Ki.

Jaab Firing Shuru Hoi Tou Khurram Ahmed Nay, Niqar Ahmed Naami Sakhs Ko Call Kerkai Surat e Haal Bataei. Niqar Ahmed Bhi Tonga Kay Ilaqay Main Rehtay Hain.Niqar Ahmed Nay Khurram Ko Safaar Jaari Rakhnay Ka Kaha.

Khurram Jaab Apni Manzil Taak Pauhanchay Tou Unhonay Sath Wali Seat Per Baithay Arshad Sharif Ko Murda Paya. Arshad Kay Sir May,Seedhi Taraf Say Goli Lagi Jo Dosri Janib Say Nikal Gai, Aur Arshad Sharif Mouqay Per Hi Dum Toar Gaey.

Gari Ki Wind Screen Kai Ilawa Bhi Kai Hisson Per Firing Kay Nishanaat Pai Gaey Hain.

Arshad Sharif Ki Dead Body Ko Post Martum Kay Liye Chiromo Hospital Mai Rakha Hoa Hay.

Kuch Ahem Sawaalat Jo Yahan Uth Rahay Hain Woh Yeh Hain Kay Arshad Sharif Jo Driver Kay Barabar Seat Per Baithay Hoay Thay, Un Ko Shadeed Firing May Goli Lagi Tahaam Driving Seat Per Baithay Shaks Ko Kuch Nahe Hoa. Iss Ka Matlab Hoa Kay Arshad Sharif Ko Point Blank Ya Bauhat Hi Nazdeek Say Goli Maari Gaei ?

Firing Kai Doraan Arshad Sharif Ko Right Side Say Goli Lagi Laikan Un Kay Bhai Ko Kuch Nahe Hoa.

Na Sirf Un Kay Bhai Mehfooz Rahay Balkay Kaafi Doar Jaker Un Ko Pata Chala Kay Arshad Ki Firing Kai Doraan Maut Waqei Hochuki Hay.

Iss Tarhan Jaab Gari Ruki Nahi Tou Police Nay Uss Ka Peecha Kion Nahe Kiya Aur Kia Police Ka Farz Nahe Tha Kai Suspected Mulzimaan Ko Chase Kerkai Rouka Jata?

شیئر

جواب لکھیں