T20 World Cup Main Pak-India Match Ko 1 Din Guzar Chuka Hay, Laikin “Saala! Ye Dukh Kaahey Khatam Nahi Hota Bey?”

Dimagh Abhi Tak Puzzled Hay Ke Aakhir Ye Hua Kya Tha? Samajh Nahi Aarahi Ke Muhammad Nawaz Responsible Thay Ya Captain Babar Azam Ka Un Say Last Over Karwanay Ka Faisla Ghalat Tha?

Ye 1 Saal Main Teesri Martaba Hua Hay Ke Barray Matches Main Babar Azam Kay Kuchh Faislay Pakistan Kay Liay Bhaari Sabit Huay. To Baat Kartay Hain, Laikin Pehlay Aik Clarification: Is Main Koi Shak Nahi Ke Babar Azam Jaisa Batsman Pakistan Main Is Waqt Koi Nahi. Laikin Sawal Ye Hay Ke Kya Wo Utnay Achhay Captain Bhi Hain? Is Par Kai Laug Mukhtalif Opinion Rakhtay Hain.

Chalain, Zara Record Book Dekhtay Hain Ke Kya Waqai Aisa Hi Hay? Zyada Door Nahi Jaen Gay, Bus Last 1 Year Main Dekh Laitay Hain, Jis Main Pakistan Nay 2 Barray Matches Khelay. Aik T20 World Cup 2021 Ka Semi Final Tha Aur Doosra Asia Cup Ka Final.

Surprisingly Pakistan In Donon Matches Main Commanding Position Main Tha. World Cup Semi-Final Main 177 Runs Chase Karnay Wala Australia Sirf 96 Runs Par 5 Wickets Day Chuka Tha. 46 Balls Par Usay 81 Runs Ki Zarurat Thi, Laikin Pakistan Phir Bhi Haar Gaya. Kab? Kaisay? Kyun? Ye History Hay Aur Mystery Bhi.

ICC T20 World Cup 2021, 2nd Semi-Final

Pakistan vs Australia

11 November 2021

Dubai International Cricket Stadium, Dubai, UAE

Result: Australia 5 Wickets Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do Pakistan176-4
Mohammad Rizwan67 (52)
Fakhar Zaman55 (32)
Raftar Bharne Do Australia(T: 177)177-5
David Warner49 (30)
Matthew Wade41 (17)

Phir Abhi Zyada Din Nahi Huay, Asia Cup Ka Final Khela Gaya Tha. Hum To Samajh Rahay Thay Hum Pehlay Say Jeetay Huay Hain. Sri Lanka Kay 58 Par 5 Out Bhi Kar Diay Aur Phir Bhool Gaey Ke ‘It Is Not Over, Until It’s Over.’ Sri Lanka Nay Hamara Mutma’in Hona Dekh Lia Aur Match Main Aisa Wapis Aaya Ke Phir Jeet Kar Hi Nikla, Aik Martaba Phir Asian Champion Ban Kar.

Asia Cup 2022, Final

Pakistan vs Sri Lanka

11 September 2022

Dubai International Cricket Stadium, Dubai, UAE

Result: Sri Lanka 23 Runs Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do Sri Lanka170-6
Bhanuka Rajapaksa71 (45)
Wanindu Hasaranga36 (21)
Raftar Bharne Do Pakistan(T: 171)147-10
Mohammad Rizwan55 (49)
Iftikhar Ahmed32 (31)

Ab Kal India Kay Khilaf ‘Mahan Muqabla’ Dekh Lain. Pakistan Nay 160 Runs Chase Karnay Walay India Kay 31 Runs Par Hi 4 Out Kar Diay Thay. Laikin Jeet Phir Bhi Nahi Saka.

Kya Ye Pakistan Ki Decisive Blow Na Laganay Ki Purani Aadat Hay Ya Babar Hi Main Koi ‘Khaas’ Baat Hay? Lagta Hay Babar Bowlers Kay Timely Istamal Karnay Main Phans Jatay Hain. Jis Say Batsman Ko Settle Honay Ka Moqa Mil Jata Hay. Ab Ya To Main Strike Bowlers Kay Baad Pakistan Kay Paas Koi Aisa Bowler Nahi Jo Wicket Lay Sakay, Ya Phir Unhain Perfect Time Par Istamal Nahi Kia Jaa Raha.

Agar Babar Waqai Aik Achhay Captain Nahi To Wo Pehlay Aisay Great Batsman Nahi Hon Gay Jo. Un Say Pehlay Sachin Tendulkar, Brian Lara Aur Rahul Dravid Bhi Great Batsman But Terrible Captains Thay. Kya Babar Bhi Un Ki List Main Count Hon Gay? Ye Aanay Wala Waqt Bataey Ga.

شیئر

جواب لکھیں