Pakistan Mein ‘Cricket Fever’ Is Waqt Apnay Urooj Par Hay. ‘Green Shirts’ Kay T20 World Cup 2022 Kay Final Mein Puhanchnay Say Aisa Maahol Ban Gaya Hay Ke Syasi Hangamay, Economic Conditions, Internal Issues, Foreign Affairs, Sub Kaheen Peechay Reh Gaey Hain Aur Nazar Mein Hay Sirf Cricket!

World Cup To Khair Final Kay Sath ‘The End’ Ho Jaey Ga, Laikin Pakistan Super League Kay Next Season Ki Tayarian Shuroo Ho Gai Hain. Yani ‘Cricket Fever’ Jaldi Utarnay Wala Nahi. To PSL 2023 Mein Aik Barri Khabar Trade And Retention Window Kay Band Hotay Hi Aa Gai Hay. Jis Kay Mutabiq Babar Azam 5 Saal Baad Karachi Kings Ka Sath Chhor Gaey Hain Aur Peshawar Zalmi Ka Hissa Ban Gaey Hain.

Is Trade Kay Badlay Mein Karachi Nay Peshawar Say Haider Ali Aur Shoaib Malik Lay Liay Hain, Yani ‘Malik Sahib’ Aik Baar Phir King Ban Gaey Hain. Balkay Ho Sakta Hay Captain Bhi Ban Jaen.

Waisay Babar Ko Hasil Karnay Ki Kosish To Quetta Gladiators Nay Bhi Barri Ki. Kuchh Dinon Say News Aa Bhi Rahi Theen, Laikin Lagta Hay Un Ki Koshish Kamyab Nahi Hui. Aur Zalmi Ki Offer Kaam Kar Gai Hay.

Trade And Retention Window Hay Kya?

Trade And Retention Window Mein Har Team Next Season Kay Liay Apnay Max 8 Players Ka Faisla Karti Hay. 18 Members Squad Kay Baqi 8 Players Ko Draft Mein Lia Jata Hay. Har Team Platinum, Diamond Aur Gold Mein 3,3; Silver Mein 5, Emerging Mein 2 Aur Supplementary Category Mein 2,2 Players Ko Chunn Sakti Hay.

Naya Zalmi

Peshawar Zalmi Nay Jin 7 Players Ko Retain Kia Hay Un Mein Babar Azam To Platinum Category Mein Aa Hi Gaey. Un Kay Ilawa Sherfane Rutherford Aur Wahab Riaz Diamond, Mohammad Haris Gold,  Salman Irshad Aur Tom-Kohler Cadmore Silver Category Mein Hain. Jabkay Aamir Jamal Brand Ambassador Hon Gay.

Champion Qalandars

Lahore Qalandars Ka PSL Champion Ban’na Aik Maujza Tha. Wo Kis Tarah Apnay Is Title Ko Defend Karay Ga? Is Kay Liay Strategy Abhi Say Ban’na Shuroo Ho Gai Hay. Jis Ka Pehla Step Tha Ye Retention Aur Trade Window.

Yahan Lahore Nay Aik Ajeeb Faisla Kia Hay Ke Fakhar Zaman Ko Chhor Kar Baqi Sub Important Players Ko Pick Kar Lia Hay. Waisay Teams Kay Paas Apnay Release Kiay Gaey Players Ko Draft Mein Pick Karnay Ka Option Hota Hay. Is Liay Mumkin Hay Ke Fakhar Ko Apni Platinum Pick Mein Doobara Lay Bhi Lay.

Khair, Jin Players Ko Qalandars Nay Retain Kia Hay Un Mein Rashid Khan Aur Shaheen Shah Afridi Platinum, David Wiese Diamond, Abdullah Shafique Gold, Harry Brook Aur Kamran Ghulam Silver Aur Zaman Khan Emerging Category Mein Shamil Hain.

Ajeeb Gladiators

Babar Azam Ko Hasil Karnay Ki Koshish Nakaam Honay Kay Baad Quetta Nay Apnay Puranay Captain Safraz Ko Retain To Kia Hay Leikin Platinum Nahi, Diamond Bhi Nahi Balkay Gold Category Mein. Yani Nahi, Naseem Shah Ko Bhi Release Kar Dia Hay. Jo Ab Draft Mein Pick Kay Liay Mojood Hon Gay. Wahan Kya Hoga? Kuchh Nahi Pata.

Jin Players Ko Quetta Nay Retain Kia Hay Un Mein Mohammad Nawaz Platinum, Iftikhar Ahmed Aur Jason Roy Diamond, Mohammad Hasnain Aur Sarfaraz Ahmed Gold, Will Smeed Silver Category Mein Hon Gay. Afghan Bowler Naveen-ul-Haq Aur Umar Akmal Ko Bhi Retain Kia Gaya Hay.

Rizwan Ka Multan

Expectations Kay Mutabiq Mohammad Rizwan Ko As A Captain Aur Platinum Category Mein Hi Retain Rakha Gaya Hay. Waisay Retain To Australia Kay Tim David Ko Bhi Kia Gaya Hay Laikin Platinum Say Gold Category Mein Demotion Kay Baad.

Next Season Mein Shan Masood, Rilee Rossouw Aur Shahnawaz Dahani Bhi Multan Kay Liay Hi Kheltay Nazar Aaen Gay. Is Kay Ilawa Emerging Category Mein Abbas Afridi Aur Ihsanullah Ko Retain Kia Gaya Hay.

‘Roti Gang’ United

Islamabad United Nay Shadab Khan Kay Ilawa Asif Ali, Faheem Ashraf, Hasan Ali Kay Sath Mohammad Wasim Ko Bhi Retain Kia Hay Yani Ye To ‘Roti Gang+’ Hogaya. In Kay Ilawa Colin Munro, Paul Stirling Aur Azam Khan Bhi Barqarar Rakhay Gaey Hain. Waisay Ye Bhi 'Roti Gang' Ki Hissa Ban'nay Ki Poori Salahiyat Rakhtay Hain 😁.

PSL 2023: Draft Mein Kaun Kaun?

Draft Mein 493 Players Register Huay Hain, Aur Yahan Buhat Barray Barray Naam Nazar Aa Rahay Hain. Platinum Category Hi Dekhain To Us Mein Aaron Finch, Adil Rashid, Alex Hales, David Miller, Dawid Malan, Jimmy Neesham, Lungi Ngidi, Martin Guptill, Moeen Ali, Mohammad Nabi, Rassie Van Der Dussen, Reece Topley, Shakib Al Hasan, Tymal Mills Aur Wanindu Hasaranga De Silva Naam Prominent Hain.

Diamond Category Mein Bhi Achhay Naam Hain: Andre Fletcher, Angelo Mathews, Carlos Brathwaite, James Vince, Kusal Mendis, Kusal Perera, Liam Dawson, Mushfiqur Rahim, Sikandar Raza, Tamim Iqbal, Taskin Ahmed, Thisara Perera Aur Wayne Parnell.

Laikin Hamain To Yahan Sirf 2 Names Mein Dilchaspi Hay: Netherlands Kay Bas De Leede Aur Roelof Van Der Merwe, Wohi Jin Kay Kamaal Catch Say Pakistan World Cup Kay Semi-Final Mein Puhancha.

PSL 8 Kab?

Draft Kab Hoga? Is Ka Ailan To Baad Mein Hoga. Laikin Next Season Ki Dates Aa Gai Hain. PSL 2023 Ka Aaghaz 9th February Ko Hoga Aur Ye 19th March Tak Chalti Rahay Gi. Is Baar Matches 4 Venues Par Hon Gay: Karachi, Lahore, Rawalpindi Aur Multan.

شیئر

جواب لکھیں