Author: رفتار

Attorney General Pakistan Ashtar Ausaf Ne Ohday Se Istefa De Diya.Ashtar Ausaf ne Health Issues Ko Resign Ki Wajah Bataya Hay. Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Ne Unhen Naye Attorney General Ke Appointment Tak Kaam Jari Rakhnay Ki Hidayat Ki Hay.Ashtar Ausaf Ko 9 May 2022 Ko AGP Muqarrar Kiya Gaya Tha.

مزید پڑھیں

Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Aur Hamza Shehbaz Ko FIA Money Laundernig Case Se Bari Kar Diya Gaya. Special Central Court Ke Judge Ijaz Hassan Awan Ne Faisla Suna Diya. Shehbaz Sharif Aur Hamza Shehbaz Samait Deegar Ke Khilaaf Money Laundering Ka Case November 2020 Main Darj Kiya Gaya Tha. Mulzimaan Par 16 Arab Ki Money Laundering Ka Ilzaam Lagaya Gaya. July 2021 Main Mulzimaan Ne Zamant Ke Liye Session Court Main Darkhwast Di. FIA Ne March 2022 Main Muqadmay Ka Chalaan Special Central Court Main Jama Karaya. FIA Ki Janib Se Jama Karaya Gaya Chalaan 7 Volume Par Mushtamil Tha. Chalaan…

مزید پڑھیں

Pop Star Shakira Bhi Mahsa Amini Ke Haq Main Bol Pareen. Shakira Ne Apnay Tweet Main Mahsa Ka Portrait Share Kia Aur Sath Kaha K Wo Mahsa Ki Family, Iran Ki Khawateen Aur Larkio Ke Sath Khari Hain, Singer Ne Azadi A Izhar K liye Lerny Walon Ko Bhe Salam Paish Kia. https://twitter.com/shakira/status/1579593705748836352?cxt=HHwWgMDRieeG7OsrAAAA 22 Sala Mahsa Amini Ki Maut 16 September 2022 Ko Tehran Ke Hospital Main Hui Thi. Mahsa Ki Family Ne Ilzam Lagaya Tha Ke Police Ne Mahsa Ko Hijab Na Pehnnay Per Tashaddud Ka Nishana Banaya Tha. Mahsa Ki Maut Ke Baad Se Iran Bhar Main Ehtijaj…

مزید پڑھیں

Nobel Laureate Malala Yousufzai Ne Sindh Ke District Dadu Main Sailab Zada Elaqon Ka Daura Kiya. Sindh Ke Wazir-e-Taleem Sardar Shah, Wazir-e-Sehat Azra Pechuho Aur Famous Singer Shehzad Roy Bhi Un Ke Saath Thay. Malala Yousufzai Ne Tent City Main Rehne Wali Khawateen Aur Bachion Ke Masail Sunay Aur Unki Himmat Barhai. Un Ka Kehna Tha Ke Aap Is Muskhil Waqt Ka Bahaduri Se Muqabla Kar Rahi Hain, Aap Ba Himmat Khawateen Hain. Shehzad Roy Ne Camp Main Rehnay Wali Bachion Ko Gana Bhi Sunaya. Unhon Ne Kaha Ke Ye Gana Sindh Ke Liye Hay. Sardar Shah Is Ka Sindhi…

مزید پڑھیں

Tape Karna Aur Release Karna Crime Hay: Imran Khan Ka Audio Leaks Per Adalat Janay Ka Elan. Islamabad High Court Main Peshi Ke Mauqay Per Imran Khan Ne Media Se Bat Kartay Huye Kaha Ke Nigrani Aik Alag Baat Hay, Lekin Tape Karna Aur Release Karna Crime Hay. Imran Khan Ka Kehna Tha Ke Sadar Arif Alvi Ne Clarify Kia Hay Ke Un Ke Bayan Ko Twist Kiya Gaya. Sabiq Wazir-e-Azam Ka Kehna Tha Ke Sawat Ka Issue wifaqi Hukumat Ka Issue Hay. Funding Case Per Unhon Ne Kaha Ke Sari Political Parties Ki Funding Ko Iktha Daikhain Tou Sirf…

مزید پڑھیں

Islamabad High Court Ne Mamnoa Funding Case Main Imran Khan Ki Hifazati Zamanat Manzor Karli. Chairman Tehreek-e-Insaf Ne Apne Lawyer Ke Zariye Islamabad High Court Main Appeal Ki Thi. Jis Par Chief Justice Athar Minallah Ne Imran Khan Ko Paish Hone Ka Hukm Diya Tha. Imran Khan Ne Adalat Aamad Par Bayan Diya Ke Zamant Na Howi To Wo Jail Jane Ke liye Bhi Tayyar Hain. https://twitter.com/raftardotcom/status/1580103149750140928 Islamabad High Court Ne 5,000 Ke Machalke Jama Karane Ka Hukm Dete Howe Mangal Tak Imran Khan Ki Hifazati Zamanat Manzor Karli. FIA Ne Imran Khan Ke Khilaf Mamnoa Funding Ki FIR Register…

مزید پڑھیں

Islamabad: Federal Investing Agency (FIA) Ne Prohibited Funding Case Main Ex-Prime Minister Aur Chairman PTI Imran Khan Samait 11 Afrad Ke Khilaf Muqadma Darj Kar liya. Mulziman Main Private Bank Manager Aur PTI Ki Financial Team Members Bhi Shamil Hain. FIA Corporate Banking Circle Main Darj FIR Main Imran Khan, Sardar Azhar Tariq, Saif Ullah Niazi, Sayed Younus, Aamir Kiyani, Tariq Raheem Shaikh, Tariq Shafee, Faisal Maqbool Shaikh, Hamid Zaman aur Manzoor Chaudhry Ko Namzad Kiya Gaya Hay. FIR Main Kaha Gaya Hay Ke Mulziman Ne Foreign Exchange Act Ki Khilaf Warzi Ki Hay. Naya Pakistan Ke Naam Per Private…

مزید پڑھیں

Wifaqi Wazir-e-Khazana Ishaq Dar IMF Aur World Bank Ke Hukam Se Muzakrat Ke Liye America Rawana Ho Gaye. Ministry Of Finance Ke Mutabiq Ishaq Dar Ki IMF Aur World Bank Ke Aala Ohday Daron Se Mulaqat Main Pakistan Ki Economy Aur Cooperation Per Tafseeli Baat Ho gi. Wazir-e-Khazana IMF Aur World Bank Hukkam Ko Sailab Se Economy Ko Pohanchnay Walay Nuqsanat Aur Economic Growth Ke Liye Pakistan Ke Iqdamat Sr Aagah Karen Ge. Ishaq Dar Ki IMF Mission Chief Nathan Porter Ke Saath Virtual Meeting. (APP) Is Se Pehlay Ishaq Daar Ne IMF Mission Cheif Se Virtual Meeting Ki Thi Jis…

مزید پڑھیں

Wazir-e-Dakhla Rana Sana Ullah Ka Kehna Hay Ke PM House Ki Audio Leaks Main Koi Mulki Ya Dushman Agency Mulawais Nahi. Amlay Ke Kuch Logon Ne Paison Ke Liye Infiradi Taur Per Kaam Kiya. Aik TV Program Main Baat Kartay Huye Un Ka Kehna Tha Ke Audio Leaks Ki Tehqiqat Mukammal Ho Gayi Hain. Wazir-e-Azam Faisla Karen Ge Ke Tehqiqat Ke Nataij Kahan Paish Kiye Jayen. Rana Sana Ne Kaha Ke Hukumat Ke Khilaf Is Muhim Ke Zimmedaron Ke Khilaf Suboot Jama Kar Liye Hain, Un Ke Khilaf Karrawai Hogi. Rana Sana Ka Ye Bayan Us Waqt Samnay Aaya Hay…

مزید پڑھیں