Author: رفتار

Information Technology Main India Nay Hamesha Pakistan Say Aagay Nikalnay Balkah Nuqsan Puhanchanay Ki Koshish Ki Hay, Laikin Abhi Indian Hackers Itnay Baray Nahi Hoay Kay Pakistan Ko Koi Nuqsaan Puhancha Sakain. Pakistan Telecommunication Authority Nay Aik Alert Jari Kia Hay, Jis Mai Bataya Gaya Hay Ke Dunya Kay Kuch Cities Main Pakistani Embassies Ka Sensitive Data Chauri Karnay Ki Koshish Ki Gai Hay. Indian Hackers Nay Brunei, Nepal, Argentina Aur Azerbaijan Main Pakistani Embassies Ko Email Bhajein, Jis Kai Baad Pta Nay Alert Jari Kertay Hoay Eham Infrastructure Aur Websites Ki 24 Hours Monitoring Ki Hidayat Kerdi Hay. Pta…

مزید پڑھیں

Tik Tok Nay Jahan Hareem Shah Ko Shohrat Ki Bulandi Tak Pauhanchaya, Waheen Kuch Aisi Controversies Bhi Hain, Jin Ki Waja Sai Hareem Shah Mushkil Mai Phans Gaein. Kabhi Sensitive Places Per Video Shoots, Tou Kabhi Ghair Mulki Currency Smuggle Kernay Kay Ilzamaat Nay Hareem Shah Ko Pareshan Kia. Ab Money Laundering Case Main Hareem Shah Nay Sindh High Court Ka Rukh Kar Lia Hay, Jahan Unhon Nay Social Media Per Milnay Walay Threats Ki Waja Say Security Ka Mutalba Kardia Hay. Sindh High Court Hareem Shah Kay Khilaaf FIA Money Laundering Case Ki Investigation Ker Rahi Hay. FIA Nay…

مزید پڑھیں

Aajkal Pakistani Siyasat Main Audio Leaks Ne Bhonchal Paida Kar Rakha Hay. Guzishta Saal Bhi Maryam Nawaz Aur Sabiq Chief Justice Saqib Nisar Ki Mubiyana Audio Samnay Aai Theen Lekin Is Baar Muamla Gambheer Hay Kiun Ke Pehlay Infiradi Phone Call Leak Ho Rahi Theen, Ab Wazir-e-Azam House Main Ki Janay Wali Guftgu Leak Ki Ja Rahi Hain. Ye Audio Kaun Leak Kar Raha Hay? Se Ziyada Eham Sawal Ye Hay Ke Aik Nuclear Power Mul Ke PM House Main Audios Record Kis Ne Keen? Phir Un Recording Ka Sara Data Kahan Rakha Gaya Hay? Kia Kisi Hacker Ne Us…

مزید پڑھیں

Ukraine Ko Laagaam Daalnay Kay Liye Russia Aik Aur General Ko Aglay Mahaaz Per Lai Aya Hay. 6 Maheenon Say Jari Russia Ukraine Conflict Ab Mazeed Sangeen Surat Ikhtiyaar Karna Wala Hay. Kiunkay Russian Defence Ministry Nay General Sergey Surovikin Ko Commander Of The Joint Grouping Of Forces Muqarrar Kar Dia Hay. Woh Special Military Operations Ki Command Sanbhalain Gay. Russian Army Ki Janib Sai Yeh Eham Qadam Is Liye Uthaya Gaya Hay Kiunkay Ukrainian Forces Nay Un Ilaqaon Say Bhi Russia Ko Nikaal Diya Hay, Jin Par Russia Ka Claim Tha Kay Wo Us Ka ‘Atoot Ang’ Hain. 55…

مزید پڑھیں

Novak Djokovic Kisi Ta’aruf Kay Mohtaj Nahi. Un Ka Naam Waisay Hi Amar Rahay Ga. Laikin Aik Keeray Ko Un Ka Naam Day Kar Goya Unhain Aik Anokha Tribute Paish Kia Gaya Hay. Djokovic Kay Mulk Serbia Main Aik Naya Keera Daryaft Hua Hay. Belgrade University Ki Biology Faculty Kay Professor Nikola Vesovic Nay Bataya Ke Naya Keera Raftar Mai Bohot Tez Hai. Apni Instagram Post Main Unhon Nay Bataya Ke Yeh Keera Subterranean Ground Beetle Hay. View this post on Instagram A post shared by Nikola Vesović (@insects.veson) Mazedar Baat Ye Hay Kai Jin Scientists Nay Is Per Research…

مزید پڑھیں

Army Chief Gen Qamar Jawed Bajwa Ne Kaha Hay Ke Fake News Aur Propaganda Par Tawajja Na Den, Mulk Ki Hifazat Mazboot Hathon Me Hay. Pakistan Military Academy Kakul Me Passing Out Parade Ki Taqreeb Se Khitab Main Army Chief Ne Kaha Ke Qaum Ki Madad Se Kisi Mulk Ya Group Ko Pakistan Destabilise Nahi Karnay Dengay. Army Chief Ne Kaha Pakistan Ko Dehshat Gardi Se Nijat Dilane Ke Liye Pak Fauj Ne Bari Qurbaniyan Di Hain. Is Moqay Par Army Chief Ne 146th Long Course Ke Passout Honay Wale Cadets Ko Mubarakbad Bhi Di.

مزید پڑھیں

World Bank Ka Kehna Hay Ke Pakistan Main Sailab Se Honay Walay Nuqsanat ka Estimate 40 Arab Dollar Lagaya Gaya Hay. World Bank Ki “Pakistan Development Update Report 2022” Main Kaha Gaya Hay Ke Sailab Ki Wajah Se Ghurbat Aur Mehngai Main Izafa Hua. Khorak Aur Tawanai Ki Qeematon Main Izafay Ki Wajah Se Mehngai Ki Sharah 23% Tak Rehne Ka Imkan Hay. World Bank Ke Mutabiq Sailab Ki Wajah Se Mazeed 40 Se 50 Lakh Log Ghurbat Ki Lakeer Ke Neechay Chalay Jaen Gay. World Bank Pakistan Ko 2 Arab Dollar Faraham Kare Ga Jis Main Se 1 Arab…

مزید پڑھیں