Avatar: The Way Of Water Ka Global Opening Weekend 400 Million Dollars Ka Raha. Umeed Thi Ke Ye Movie Opening Weekend Par Hi 500 Million Dollars Ka Milestone Paar Kar Jaey Gi, Laikin Aisa Hua Nahi. $400m Bhi Koi Choti Raqam Nahi, Laikin Phir Bhi Avatar II Ko ‘Box Office Bomb’ Kaha Ja Raha Hay. Kyun? Kyunke Ye Buhat Buhat Mehngi Film Hay Aur Isay ‘Break Even’ Kay Liay Bhi Kaheen Zyada Maal Kamaana Hoga.

13 Saal Kay Intizar Kay Baad Aanay Wali Avatar: The Way Of Water Kay First Impression Par 2 Mukhtalif Opinions Hain. Kuch Log To Is Ko First Avatar Say Compare Kar Rahay Hain Aur Intizar Karnay Ka Mashwara Day Rahay Hain To Doosron Ka Kehna Hay Ke Avatar II Flop Hogi.

Avatar II

Director James Cameron Mega Budget Ki Movies Bananay Aur Un Say Buhat Zyada Maal Bananay Kay Liay Mash’hur Hain. Titanic Say Avatar Tak, Un Ki Movies Nay Box Office Par Record Business Kia Hay, Par Avatar Ka Ye Sequel Abhi Tak Waisi Dhoom Nahi Macha Saka. Ho Sakta Hay Aagay Jaa Kar Kuch Karday, Kyunke Abhi To Party Shuru Hui Hay!

Ab Aik Sawal Zehn Mein Aa Raha Hay Ke Aisi Kaun Si Movies Hain, Jin Par Bara Paisa Dooba? Aisi Movies Jo Apna Budget Tak Na Nikaal Sakain, Unhin ‘Box Office Bomb’ Kaha Jata Hay.

Movie Nakaam Kyun Hoti Hain?

Is Say Pehlay Aik Aur Sawal Ka Jawab Detay Hain Ke Ye Big Budget Movies Nakaam Kyun Hoti Hain? Is Kay Buhat Say Reasons Hain. Aik To Kuch Films Apni Formula Story Ki Waja Say Pitt Jati Hain. Kuch Critics Kay Haath Lag Jati Hain, Jo Inhain Buri Tarah Ragarr Detay Hain. Phir Kuch Aisi Movies Bhi Hoti Hain Jo Itni Buri Nahi Hoteen, Bus Ghalat Waqt Par Release Ho Jati Hain, Usi Time Par Jab Koi Doosri Film Chappar Phaar Business Kar Rahi Hoti Hay, Youn In Kay Naseeb Main Nakaami Aati Hay.

To History Mein Kaun Si Movies Guzri Hain Jo ‘Box Office Bomb’ Ka Shikaar Hueen. Aayen Aap Ko Batatay Hain:

The Adventures Of Pluto Nash

Box Office Bombs

Oscar Nominated Aur Golden Globe Award Jeetnay Walay Famous Actor Eddie Murphy Is Movie Mein Thay, Laikin The Adventures Of Pluto Nash Phir Bhi Pitt Gai. Ye Movie 100 Million Dollars Kay Budget Say Bani Thi Laikin Isay Opening Weekend Par Milay: Sirf 2.1 Million Dollars. Film Aisi Piti Ke Phir 7 Million USD Hi Kama Saki. Sara Paisa Zaya Ho Gaya!


47 Ronin

Box Office Bombs

Keanu Reeves Jaisa Action Star Ho, 175 Million Dollars Ki Production Ho, Movie Christmas Season Mein Release Ho Rahi Ho Aur Marketing Aur Distribution Par Bhi Paani Ki Tarah Paisa Lagaya Gaya Ho, Pitna Banta Nahi Tha, Laikin '47 Ronin' Pitt Gai.

2013 Ki Ye Movie Us Waqt Release Hui Jab Cinemas Mein The Hobbit, The Wolf Of Wall Street, The Secret Life Of Walter Mitty Aur American Hustle Jaisi Movies Lagi Hui Theen. 47 Ronin Bari Mushkil Say US Box Office Mein Sirf 38.6 Million USD Kama Saki. Dunya Bhar Mein Is Nay 113 Million To Haasil Kiay, Laikin Is Say Budget Bhi Poora Nahi Hua.


Stealth

Box Office Bombs

Hum Nay Abhi Top Gun: Maverick Ko Donon Haathon Say Maal Kamatay Dekha Hay, Laikin 2005 Mein Aisi Hi Aik Movie Stealth Aai Thi: 3 Pilots Aik Secret Mission Mein World War Roknay Ki Koshish Kartay Huay. Phir Movie Ka Production Budget Tha 135 Million USD. Ye Kitna Bara Budget Tha Is Ka Andaza Is Baat Say Lagayen Ke 2022 Ki Top Gun: Maverick $170 Million Mein Bani Hay.

Khair, Is Bhaari Budget Kay Bawujood Stealth Ki Performance Check Karain: Opening Weekend Par Sirf 13 Million USD Kama Saki. Second Week Mein Ye Girtay Huay 5.9 Aur Third Week Mein Sirf 2 Million USD Reh Gaey. Global Box Office Bhi $44.8 Million Tak Raha. Total Approx. 77 Million Dollars Hi Recover Ho Sakay. Aur Film Pitt Gai!


The Lone Ranger

Box Office Bombs

Isay Hum Box Office Bomb Keh Bhi Saktay Hain, Aur Nahi Bhi. Kyun? Kyunke Director Thay Gore Verbinski, Wo Jinhon Nay Pirates Of The Caribbean Series Ki 3 Movies Direct Keen, Rango Jaisa Animated Shahkaar Banaya, Laikin Phir Baad Ye Film Bana Daali.

The Lone Ranger Ka Box Office Par Nakaam Hona Is Liay Bhi Surprise Tha Kyunke Is Mein Johnny Depp, Helena Bonham Carter, William Fichtner Aur Armie Hammer Jaisay Actors Thay. Is Movie Ki Production Aur Marketing Par 375 Million USD Kharch Kia Gaey. Ab Aik Hit Movie Ban’nay Kay Liay Zaruri Tha Ke Ye 650 Millions Kamati, Laikin Milay Sirf $260 Million.

Gore Verbinski Is Kay Baad To Films Bananay Say Hi Gaey, Haan! Disney Ki Bachat Ho Gai, Jis Nay Apni Doosri Kamyab Films Say Paisa Poora Karlia.


John Carter

Box Office Bombs

350 Million USD Ka Production Budget, 100 Million Dollar Marketing Par, Yani John Carter 600 Million Dollars Kamati To Baat Banti. Laikin John Carter Buri Tarah Piti. Global Box Office Par Behtar Performance Bhi Is Movie Ko Bacha Nahi Saki. Baat 284 Million USD Tak Hi Puhanch Pai. Is Film Kay Chakkar Mein Disney Studios Kay Chairman Rich Ross Ki Naukri Tak Chali Gai Thi.


Mars Need Moms

Box Office Bombs

Rich Ross Kay Resign Ki Waja Sirf John Carter Nahi Thi, Balkay 2011 Ki Ye Movie ‘Mars Need Moms’ Bhi Thi. Robert Zemeckis Jaisay Baray Naam Ki Production Thi, Wohi Jinhon Nay Back To The Future Jaisa Shahkaar Banaya Tha. Laikin Mars Need Moms Mein Kuch Nahi Tha, Na Kahani Achi Aur Na Animation Kuch Khaas. $150 Million Ka Production Budget Aur Box Office Par 40 Million Bhi Nahi Milay.


The 13th Warrior

Box Office Bombs

Budget To Is Movie Ka Chhota Tha, Laikin Masla Ye Tha Ke Is Mein Musalmanon Ko Hero Dikhaya Gaya Tha. 1999 Mein 160 Million USD Kay Budget Say The 13th Warrior Michael Crichton Kay Novel Par Based Thi. Ismein Antonio Banderas Nay Muslim History Kay Aik Important Character Ahmad Ibn Fadlan Ka Role Play Kia Tha. Ye Movie $62 MillionsBhi Nahi Kama Saki, Yani Adha Paisa Bhi Wapis Nahi Mila.


Moonfall

Box Office Bombs

2022 Ki Movies Mein Kisi Nay Moonfall Jitna Nuqsan Nahi Uthaya Hoga. February 2022 Mein Release Honay Wali Ye Movie History Ki Sab Say Mehngi Indie Film Thi. Ye Kahani Thi Aisay Astronauts Aur Conspiracy Theorist Ki Jo Chaand Ka Aik Raaz Jaan Laitay Hain Ke Ye Zameen Kay Orbit Say Nikal Raha Hay. 146 Million USD Ki Is Film Ko Critics Nay Buhat Negative Reviews Diay, Aur Ye Kama Saki Sirf 67 Millions.


The Promise

Box Office Bombs

The Promise Kay Pitnay Ki Hamain To Bari Khushi Hui, Kyunke Ye Armenian Genocide Par Bani Thi. 90 Million USD Ka Kharcha Kar Kay Banai Gai Is Movie Ka Controversial Topic Bhi Isay Zinda Nahi Kar Saka, Aur Ye Sirf $12 Million Kama Saki. Baad Mein 'Khisyani Billi, Khamba Nochay' Wali Baat, Studio Kehta Hamara Maqsad Paisa Kamana Tha Hi Nahi.


Onward

Box Office Bombs

Aur Is Ye Wo Film Hay, Jis Ki Nakaami Par Hamain Buhat Dukh Hua. Disney-Pixar Ki 'Onward' 2 Bhaiyon Ki Magical World Ki Khoobsurat Kahani Thi, Jinhain 24 Ghanton Kay Liay Apnay Marhoom Walid Say Milnay Ka Mauqa Milta Hay. 200 Million Dollars Kay Budget Say Ban’nay Wali Is Movie Ki Qismat Dekhain, Release Kay Aik Haftay Baad Hi Coronavirus Ki Waja Say Lockdown Ho Gaya. Movie Cinemas Mein To Pitt Gai, Laikin Critics Nay Isay Buhat Pasand Kia. Golden Globes Aur Academy Awards Mein Best Animated Feature Ki Nomination Bhi Haasil Ki, Laikin Paisa Zaya Ho Chuka Tha. Global Box Office Par Is Nay Sirf 134 Million Dollars Hi Kamaey.

شیئر

جواب لکھیں