World Bank Ka Kehna Hay Ke Pakistan Main Sailab Se Honay Walay Nuqsanat ka Estimate 40 Arab Dollar Lagaya Gaya Hay.

World Bank Ki “Pakistan Development Update Report 2022” Main Kaha Gaya Hay Ke Sailab Ki Wajah Se Ghurbat Aur Mehngai Main Izafa Hua.

Khorak Aur Tawanai Ki Qeematon Main Izafay Ki Wajah Se Mehngai Ki Sharah 23% Tak Rehne Ka Imkan Hay. World Bank Ke Mutabiq Sailab Ki Wajah Se Mazeed 40 Se 50 Lakh Log Ghurbat Ki Lakeer Ke Neechay Chalay Jaen Gay.

Raftar Bharne Do
40 Billion Dollar Doob Gaey 1

World Bank Pakistan Ko 2 Arab Dollar Faraham Kare Ga Jis Main Se 1 Arab Dollar Fori Taur Per Milnay Ka Imkan Hay.

Country Director World Bank Ka Kehna Hay Ke Pakistan Ke Liye Mazeed Emergency Relief Ke Liye Koshish Ki Ja Rahi Hay.

World Bank Ne Zor Diya Hay Ke IMF Program Ke Tehat Hungami Islahat Ki Jayen.

شیئر

جواب لکھیں