UN General Assembly Main Pakistan Ki Liye Aalmi Imdad Ki Qarardad Manzoor Kar Li Gayi.

159 Mumalik Ki Taraf Se Co-Sponsored Ki Gayi Unanimous Resolution Main Donor Mumalik Aur Idaron Se Kaha Gaya Hay Ke Wo Pakistan Main Sailab Ke Baad Reconstruction Aur Rehabilitation  Ke Kaam Main Mukammal Cooperate Karen.

UN Ke Secretary General António Guterres Ne Kaha Ke Pakistan Main Flood Ke Asraat Kai Saal Tak Reh Saktay Hain. Is Tabahi Se Nimatnay Ke Liye Pakistan Ki Baray Pimanay Per Rehnumai Aur Madad Zaruri Hay.

Secretary General Ne Yaad Dehani Karwai Ke 4 October Ko United Nations Ne Pakistan Main Sailaab Mutasreen Ki Madad Ke Liye 81 Crore 60 Laakh Dollar Imdaad Ki Revised Appeal jari Ki Thi. Unhon Ne Kaha Ke Mein Donors, Aalmi Maliyati Idaron,  Private Sector Aur Civil Society Samait Deegar Aalmi Tanzeemon Par Zaur Deta Hun Ke Wo In Koshishon Main Mukammal Taawun Karen.

UN Main Pakistan Ke Ambassador Munir Akram Akram Ne General Assembly Se Apne Khitaab Main Kaha Ke  Pakistan Jaisay Mumalik, Jo Is Terhan Ki Mausmyati Afaat Ka Saamna Kar Rahay Hain, Unhen Apne Tahaffuz Ke Liye Tanha Nahi Chorra Jana Chahiye.

Wazir-e-Azam Pakistan Shehbaz Sharif Ne Un Resolution Ka Khair Maqdam Kiya Hay. Twitter Paigham Main Un Ka Kehna Tha Ke Duniya Ko United Nations Ki Revised Appeal Per Bharpoor Jawab Dena Chahiye. Pakistan Ko Mosmyati Tabdeeli Ke Hawalay Se Maali Madad Aur Karz Main Sahulat Tak Rasai Di Jaye.

شیئر

جواب لکھیں