Maryam Nawaz Sharif Passport Miltay Hi Aglay Din Pehli Flight Pakar Kar London Rawana Ho Gaeen. Kehna To Un Ka Yeh Tha Ke Woh Aik Surgery Ke Liye Ja Rahi Hain Aur Jaldi Wapas Ajayeen Gi Lekin Zahir Hay Wahan Un Ka Ghar Hay. Waalid Nawaz Shareef, Bhai Hasan Aur Hussain Nawaz Aur Beta, Bahu Bhi Wahan Hain.

Yani Taqreeban Sara Khandan London Main Jama Hogaya Hay. Shahbaz Shareef Ke Betay Hamza Aur Sulaiman , Beti, Damaad Bhi Waheen Hain. Shareef Family Ki London Main Khasi Jayidadin Aur Business Hain. Yani Yeh Kaha Jaye Tou Ghalat Nahi Hoga Ke London Shareef Khandan Ka Doosra Ghar Hay.

PML-N Ke Hukoomat Main Aanay Ke Baad To Mulk Ke Tamam Ahem Faislay London Main Hi Ho Rahay Hain. Shahbaz Shareef Wazeer-e-Azam Ban'nay Ke Baad Cabinet Ke Arkaan Samait 2 Baar London Ja Chukay Hain Taakay Nawaz Shareef Se Mushawarat Kar Ke Siyasi Iqdamaat Kiye Ja Sakain .

Raftar Bharne Do

Pakistani Siyasat Main London Ka Kirdaar Koi Nai Baat Nahi Balkay Qiyam-e-Pakistan Se Bhi Pehlay Jab Bar-e-Sagheer Angrezon Ka Ghulam Tha Tou Hamari Taqdeer Ke Faislay London Hi Main Hotay Thay. Gol Mez Conference Aur Angrezon Se Deegar Moqon Par Muzakraat Ke Liye Muslim Aur Hindu Rehnumaon Ko London Jana Parta Tha. Quaid-e-Azam Aur Allama Iqbal Bhi Is Maqsad Ke Liye London Gaye Thay. Quaid-e-Azam Ne To Qanoon Ki Taleem Bhi Bartania Se Haasil Ki Thi Aur 1930 Se 1934 Tak Jab Woh Siyasat Se Door Hue To Unhon Ne London Main Hi Qiyam Karkay Qanoon Ki Practice Shuru Kar Di Thi. Choudhri Rehmat Ali Ne 1933 Main London Main Pakistan National Movement Ka Aaghaz Kya Tha Aur, Apne Mashhoor Pamphlet “Now Or Never” Main Musalmanoon Ke Liye Alag Watan Ka Naam Pakistan Tajweez Kiya Tha .

Pakistan Ban'nay Ke Baad 1958 Main Jab General Ayub Khan Ne Saddar Iskandar Mirza Ko Iqtidar Se Hataya Tou Unhon Ne London Main Jala Watni Ikhtiyar Ki. Zulfiqar Bhutto Jab Wazeer-E-Azam Thay To Benazir Bhutto Ne Oxford Se Taleem Haasil Ki, Un Dinon Woh London Aati Jati Rahen.

Raftar Bharne Do
Pakistan Ke Faislay London Main 1

General Zia Al Haq Ke Daur Main Benazir Bhutto Ne 1984 Se 1987 Tak Ka Arsa London Main Khud Sakhta Jala Watni Main Guzaraa. Un Dinon Woh Central London Ke Posh Elaqay Main Raha Karti Theen. 1996 Main Jab Woh Iqtidaar Se Mahroom Huyeen Tou Dobarah London Chali Gayeen. Is Arsay Main Unhon Ne Wahan Jayedad Bhi Banali Li Thi. 1999 Main Ehatasab Adalat Ne Corruption Ke Ilzamaat Par Un Ko Paanch Saal Ki Saza Sunai Aur Musharraf Hukumat Ne Interpol Ke Zariye Unhen Wapas Laane Ki Koshish Ki Jis Ke Baad Benazir Bhutto London Se Dubai Chali Gayeen.

General Parvez Musharraf Ne Nawaz Shareef Ka Takhta Ulta. Tayyarah Saazish Case Main Adalat Ne Saza Sunai Magar Saudi Arab Aur Deegar Mulkon Ki Koshish Se Nawaz Shareef Deal Ke Tehat Pehlay Saudi Arab Gaye Aur Phir Wahan Se London Chalay Gaye. London Main Hi 2006 Main Nawaz Shareef Aur Benazir Bhutto Ne Parvez Musharraf Ke Khilaaf London Plan Banaya Aur Charter Of Democracy Sign Kiya.

Raftar Bharne Do
Pakistan Ke Faislay London Main 2

Benazir Aur Nawaz Shareef Ke Ittehaad Ne Musharraf Ko Iqtidaar Chornay Par Majboor Kiya Tou General Musharraf Bhi London Ko Piyare Ho Gaye. Unhon Ne Mashhoor Edgware Road Par Ghar Bhi Bana Liya Tha. Edgware Road Par Aik Aur Mashhoor Pakistani Siyasat Daan Altaf Hussain Bhi Rehtay Hain.

MQM Ke Baani Altaf Hussain Tou 1992 Se Wahein Khud Sakhta Jala Watni Kaat Rahay Hain. Is Jala Watni Ke Dauran Unhon Ne Waheen Ghar Banaya, Ghar Basaayaa Aur 2017 Main Pabandi Lagnay Tak Waheen Se MQM Ki Siyasat Ko Chalaya. Un Ki Aik Call Par Karachi Aur Hyderabad Main Pahiya Jaam Hojata. MQM Kisi Hukoomat Ke Sath Mil Jati Ya Kisi Se Alag Ho Jati. Altaf Hussain Ko Mananay Ke Liye Noon League Aur Peoples Party Ke Rehnumaon Ko London Jana Parta Tha.

Tehreek Insaaf Ki Siyasat Main Bhi London Ne Ahem Kirdaar Ada Kya Hai. Imran Khan Ne Bhi Oxford Se Taleem Haasil Ki. Siyasat Main Anay Se Pehlay Bhi London Main Rahay Magar 2014 Ke Mashhoor Dharnay Se Pehlay Aik Ahem Baithak London Main Hui Jis Main Imran Khan, Choudhry Baradran, Tahir Al-Qadri Aur Chaudhry Sarwar Shaamil Thay.

Panama Case Main Na-Ehli Aur Qaid Ki Saza Panay Walay Nawaz Shareef Ne Imran Khan Ki Hukoomat Main Kuch Arsa To Jail Main Guzaraa. Magar Is Dauran Un Ki Bemariyan Itni Barheen Ke Noon League Ke Rehnuma Din Raat Duhaiyan Dainay Lagay Ke Nawaz Shareef Ko Ilaaj Ke Liye London Jane Diya Jaye. Doctoron Ki Report Ke Baad Adalat Ne Unhein 8 Hafton Ke Liye Bahar Jane Ki Ijazat Day Di. Air Ambulance Par Rawana Honay Walay Nawaz Shareef Ko London Ki Faza Itni Raas Aayi Ke Wahan Pohanchtay Hi Woh Hashash Bashaash Hogaye. Kisi Elaaj Ke Baghair Woh 3 Saal Se London Main Hain.

Noon League Oppostion Main Thi To Nawaz Shareef Waheen Se Establishment Aur Imran Khan Ko Lalkara Karte Thay. Shahbaz Shareef Ke Hukoomat Main Anay Ke Baad Ishaq Daar Tou London Se Pakistan Wapas Aachukay Hain Aur Wazir Khazana Bhi Ban Chukat Hain. Ab Noon League Ki Koshish Hay Ke Miyan Sahib Ke Khilaaf Muqadmaat Bhi Khatam Hon Taakay Woh Bhi Pakistan Aa Kar Siyasat Main Bharpoor Kirdaar Ada Kar Saken. Jab Tak Aisa Nahi Hota Woh London Main Reh Kar Hi Party Aur Malik Ko Chalatay Rahen Ge.

شیئر

جواب لکھیں