Gold Jewellery Ka Naam Sun Kar Hi Aankhon Main Aik Chamak Aa Jati Hay. Kyunke Humaray Culture Main Gold Kay Zewraat Ko Buhat Importance Di Jati Hay. Phir Ye Investment Opportunity Bhi Daitay Hain, Savings Ka Aik Option Bhi. Aajkal Jo Economic Conditions Chal Rahi Hain Un Main To Savings Kay Liay Gold Best Option Samjha Ja Raha Hay.

Lekin Duniya Mein Har Jagah Aisa Nahi. Sonay Ka Istemaal Mukhtalif Bhi Hai Aur Zaroori Bhi. Laikin Finbold Kay Data Kay Mutabiq Gold Jewellery Market Par China Aur India Ka Qabza Hay. Jahan Tonnes Ke Hisaab Say Sonay Kay Zewrat Farokht Hotay Hain.

Gold Jewellery Ki Approx. 60.53% Market China Aur India Kay Paas Hi Hay. China Ko Dekhen To Wo 675 Tonnes Sonay Kay Sath Pehlay Number Par Hay. Is Ka Market Share 31.7% Hay. Indian Consumers Nay 611 Tonnes Sona Khareeda. Yani Market Mein 28.76% Ka Share.

Sonay Ke Zewraat Ki Teesri Barri Market America Hay. Jahan Saal 2021 Mein 149 Tonnes Sonay Kay Zewraat Khareeday Gaey.

Sirf 2022 Kay 3rd Quarter Main Dekhen To Zewraat 67.17 Million Ounces Kay Sath Gold Ka Number One Usage Rahay. Is Kay Baad 30.56 Million Ounces Sona Investment Kay Liay Khareeda Gaya. Gold Bars Ki Demand 30.52 Million Ounces Kay Sath 3rd Number Par Hay.

Gold Jewellery Market
(Photo: Getty Images)

Gold Ka Industrial Usage 4th Aur Electronics Main Gold Ka Use 5th Number Par Hay.

China Aur India Hi Sab Say Aagay Kyun?

Gold Jewellery Market
(Photo: Reuters)

China Aur India Mein Sonay Ki Itni Maang Ki Wajah Hay Wahan Ka Culture. Wahan Middle Class Bohat Tezi Se Barh Rahi Hai. Jo Sonay Ko Daulatmandi Ka Symbol Samjhti Hay Aur Behtar Mustaqbil Ki Zamanat Bhi.

Phir Gold Jewellery Kharidnay Ke Trend Mein Izafay Ki Aik Wajah Gold Prices Mein Anay Wali Kami Bhi Hay. China Mein Lock Down Ki Restrictions Khatam Hona Bhi Aik Important Reason Hay. China Main Special Occasions Par Bachon Ko Sonay Ke Zewraat Gift Diye Jatay Hain. Phir Chinese New Air Mein Bhi Gold Jewellery Ki Barri Importance Hay.

Isi Tarah, India Aur Pakistan Mein Bhi Sonay Ki Importance Bohat Ziyada Hay. Yeh Status Symbol Samjha Jata Hay Aur Shadi Bayah Samait Kai Rasomaat Ka Ahem Hissa Hay.

China Ke Muqablay Mein India Aur Pakistan Mein Gaon Dehaat Mein Bhi Sonay Ki Zabardast Maang Hay. Isay Aik Asset Samjha Jata Hay. Aur Jab Economic Conditions Achi Na Hon To Aik Mehfooz Sarmaya Kaari Bhi.

Waisay Duniya Ab Bitcoin Jaisay Options Ki Taraf Barh Rahi Hay. Lekin Itni Volatile Currency Ke Bajaey Hamaray Awam Historically Ziyada Reliable Gold Ko Preference Daitay Hain.

شیئر

جواب لکھیں