Bangladesh Aur India Ka Koi Crucial Match Ho Aur Koi Controversy Paida Nah Ho? Aisa Ho Hi Nahi Sakta. T20  World Cup Ke Aik Important Match Mein India Ne Bangladesh Ko Sirf 5 Runs Se Haraya. Jis Ke Baad Aik Naya Hungama Khara Ho Chuka Hai. Woh Yeh Ke Umpires Ne Virat Kohli Ki Aik Fake Fielding Harkat Ko Ignore Kia Jis Par Bangladesh Ko Qanoon Ke Mutabiq 5 Runs Mil Satke Thay. Yani Itnay Hi Runs Jitne Runs Se Woh Yeh Match Haara. 

Bangladeshi Batsman Nurul Hasan Nay Press Conferencemain Bataya Ke Umpires Ne 'Fake Fielding' Ka Aik Waqia Nahi Dekha, Jis Ki Wajah Se Bangladesh 5 Qeemti Runs Se Mahroom Hua.

Ye Incident Bangladeshi Innings Kay 7th Over Mein Hua Tha. Jab Litton Das Nay Off Side Par Aik Shot Khela Jo Deep Mein Kharray Arshdeep Singh Ke Paas Aaya. Unhon Nay Wapis Keeper's End Par Throw Kia, Jo Point Par Kharay Kohli Ke Qareeb Se Guzra. 

Yahan Kohli Ne Aisay Harkat Ki Jaisay Woh Ball Pakar Kar Usay Phaink Rahay Hon. Us Waqt Umpires Nay Unhain Dekha Nahi, Ya Dekh Kar Aankhain Band Kar Leen. Bangladeshi Batsman Nay Bhi Is Taraf Tawajah Nahi Nahi Dilai, Aur Na Appeal Ki. Yahi Ghalti Bangladesh Ko Akhir Main Buhat Mehngi Par Gai.

Nurul Hasan Nay Kaha Ke Hamein Penalty Ke 5 Runs Mil Satkay Thay. Yoon Match Ka Result Kuchh Aur Hota, Lekin Unfortunately Aisa Nahi Hua. 

Fake Fielding Par Cricket Rule

Cricket Ka Qanoon 41. 5 Kehta Hai Ke

Batsman Ki Tawajah Hataane Ki Koi Bhi Koshish, Usay Dhoka Dena Ya Us Ki Raah Mein Koi Obstruction Yani Rukawat Paida Karna Ghair Qanooni Hai Aur Is Par Pabandi Hai. Agar Koi Is Tarha Ka Waqia Paish Aata Hay To Umpire Is Ball Ko Dead-Baal Qarar Day Sakta Hay. Aur Batting Side Ko Penalty Kay 5 Runs Day Sakta Hay.

Replay Kia Kehta Hay?

Replay Dekhen To Saaf Zahir Hai Ke Kohli Ki Janib Se Batsman Ko Dhoka Dainay Ki Koshish Ki Gai Hai. Unhon Ne Arshdeep Ki Throw Par Kuch Aisa Zahir Kia Jaisay Woh Relay Throw Kar Rahay Hain. Umpires Ko Is Par Fori Faisla Karna Chahiye Tha, Kyunke Yeh Batsman Ko Dhoka Dainay Ki Koshish Nazar Aati Hay. 

Aik Nahi, Kai Controversies

Yeh Is Match Ka Wahid Controversial Incident Nahi Tha. Umpires Kay Hawalay Se Pehla Barra Waqia Indian Innings Kay 16th Over Mein Paish Aaya Jab Kohli Samjhay Ke Hasan Mahmood Ne Over Mein 2 Bouncers Phenkay Hain. Aik Ball Par Top Edge Lagnay Ke Baad Unhon Nay Umpire Marais Erasmus  Ki Taraf No-Ball Ka Ishara Kia. Umpire Ne Kohli Ke Isharay Ko Dekhtay Hue No-Ball Day Bhi Dia. Jis Par Kafi Hungama Bhi Hua.

Doosra Incident Barish Kay Baad Paish Aaya Jab Bangladeshi Innings Kay 7 Overs Ho Chukay Thay. Scoreboard Par 66 Runs Mojood Thay. Aur Bangladesh DLS Par Score Se Poooray 17 Runs Agay Tha. Tab Umpires Bangladeshi Captain Shakib Al Hasan Kay Paas Aaey. Yahan Un Kay Aur Shakib Ke Darmiyan Kafi Animated Chat Hui. Shakib Maidan Ki Haalat Se Bilkul Khush Nahi Dikhai Day Rahay Thay. Lekin Bangladesh Ko Khailnay Kay Liay Aana Para. Aur Kuchh Hi Dair Mein Match Ka Faisla Bhi Ho Gaya.

Ye Pehli 'Fake Fielding' Nahi

Khair, Ye Cricket Main 'Fake Fielding' Ka Pehla Incident Nahi Tha. Pehli Baar Aisa 2017 Main Australia Kay Marnus Labuschagne Ki 'Fake Fielding' Ki Harkat Par Mukhalif Team Ko Penalty Kay 5 Runs Milay Thay.

Phir April 2021 Mein Pakistan Kay Fakhar Zaman Ka Woh 'Infamous Run-Out' To Yaad Hay Na? Wo South Africa Kay Khilaf 193 Runs Par Khel Rahay Thay. Jab Proteas Wicket Keeper Quinton De Kock Nay Isharay Say Zahir Kia Ke Throw Bowling End Par Jaey Gi. Jabke Throw Asal Mein Keeping End Par Hi Thi. Fakhar Zaman Jo Striking End Ki Taraf Aa Rahay Thay. De Kock Ki Is Harkat Say Un Ki Attention Doosray End Ki Taraf Chali Gai, Aur Woh Run Out Ho Gaey.

Fakhar Zaman Shareef Aadmi Hain, Nick Ho Jaey To Bhi Khud Hi Crease Chhorr Daitay Hain. Itnay Barray Incident Par Bhi, Jabke Wo 193 Runs Par Controversially Run-Out Huay, Kaha Ke "Ghalti Meri Hi Thi, Mein Non-Striker Ko Dekhnay Lag Gaya, Jabke Mujhe Pehlay Apnay End Ko Mehfooz Karna Chahiye Tha. Baqi Faisla Match Refree Ka Hay. Mera Nahi Khayal Ke De Kock Ki Ghalti Thi." 

Quinton de Kock Fakhar Zaman Fake Fielding
(Photo: Getty Images)

Laikin Jis Tarah Ye Sharafat Us Din Pakistan Ko Mehngi Par Gai Thi, Bilkul Usi Tarah Aaj Bangladesh Ko Bhi Raas Nahi Aai. Phir Ye Bhi To Kehtay Hain Ke "Jo Mukka Larai Ke Baad Yaad Aaye Usay Apne Moun Par Maarn Lena Chahiye."

شیئر

جواب لکھیں