Pakistan Nay Saudia Arabia Ki Janib Say OPEC + Oil Production Kam Kernay Kay Decision Ko Support Kiya Hay.

OPEC + Nay Kuch Roz Qabul Apni Oil Production Ko Kam Karnay (2 million barrel Per Day ) Ka Faisala Kiya Tha Jiski Waja Say American Officials Bauhat Naraz Hoay Thay, Aur Kaha Tha Kay Saudia Arab Kay Sath Taluqaat Ka Asar-Nou Jaisa Liya Jaye Ga.

Oil Production Kam Kernay Ki Waja High Interest Rates Aur Kamzor Global Economy Bataie Gai Hay.

Pakistani Ministry of Foreign Affairs Ki Janib Say Kaha Gaya Hay Kay Saudia Arab Ki Janib Say Oil Production Kam Kernay Kay Faisalay Ki Himayat Kertay Hain. Yeh Bhi Kaha Gaya Kay Global Economy Ko Stable Rakhnay Kai Liye Saudia Arab Ka Yeh Faisala Dursat Hay.

شیئر

جواب لکھیں