International Market Main Pakistan Ke Bond Ki Qeemat 65% Se 67% Gir Chuki Hay.
Investment Bank JP Morgan Ka Kehna Ke Pakistan Main Sailab Ki Tabahi Aur Officials Ki Taraf Se Debt Payment Suspend Karnay Ki Warning Ki Wajah Se Ye Girawat Tou Honi Hi Thi.
Pakistan Main Sailaab Se Pehlay Bhi Economy Ki Halat Koi Achi Nahi Thi Magar Sailaab Se Infrastructure, Faslon, Gharon Ki Tabahi Aur Un Ke Nuqsanat Ke Izalay Ke Liye Jo Ikhrajat Hon Ge Un Se Pakistan KeDefault Honay Ka Khatra Barh Gaya Hay.
Wazir-e-Khazana Ishaq Dar Ne Pichlay Haftay Reuters Ko Interview Main Kaha Tha Ke Pakistan Non-Paris Club Ke 27 Arab Dollar Ke Qarz Ko Reschedule Karanay Ki Koshish Karay Ga. Is Main Se Zyada Tar Qarza China Ka Hay.
Pakistan Ko Sailab Ke Baad UN Aur World Bank Se Imadad Aur Qarz Ki Surat Main 4 Arab Dollar Milnay Hain. Lekin Pakistan Ke Foreign Exchange Reserves 7.6 Arab Dollar Reh Gaye Hain Jo Sirf Aik Mahinay Ki Import Ke Liye Ki Zarurat Ko Pura Kar saktay Hain.
Pakistan Ke Diwaliya Honay Ka Khatra Hay?
JP Morgan Kay Analysts Ka Kehna Hay Ke “Pakistan’s Ke Qarzay Aur Fiscal Surat-e-Hal Se Diwaliya (Solvent) Honay Ke Khadshat Barh Gaye Hain.”
Pakistan Ke Bond Is Mahinay Apni Face Value Se 65% Gir Chukay Hain Aur Wo Default Ke Khatray Se Dochar El Salvador, Ghana Aur Ecuador Jese Mulkon Ke Bond Ki Saf Main Aa Chukay Hain.
Mahreen Kay Mutabiq Pakistan Ke Liye Asal Khadshat Domestic Loan Ke Hain.
Pakistan Ka Total Public Debt GDP Ke 80% Tak Pohanch Chuka Hay Aur Is Main Se 66% Debt Domestic Hay. Pakistan Ki Overall Interest Payment Main Se 90% Payment Domestic Loan Ke Interest Ki Hoti Hay.
Dusri Janib Isi Mahinay IMF Ne Kaha Tha Ke Pakistan Ke Qarzon Ki Surat-e-Hal Mustehkam Hay. Aur Pakistan Ka Nominal Gross Public Debt 78.9% Se Kam Ho Kar 2027 Main 60.7% Ho Jaye Ga.