Pakistan Russia Say Sasta Oil Khariday Ga. Shukria Imran Khan Aur Ishaq Dar.

Wazeer-e-Khazana Ishaq Dar Nay Dubai Main News Conference Kartay Huvay Khush Khabri Sunai Ke Pakistan Aur Russia Main Oil Ki Kharidari Kay Muamlaat Tay Pa Chukay Hain. Ishaq Dar Nay Kaha Kay Hamari Deal Bhe Bharat-Russia Deal Say Milti Julti Hogi.

Sabiq Wazeer-e-Azam Imran Khan Maujuda Hukomat Par Musalsal Zor Day Rahay Thay Kay Hum Ko Russia Kay sath Bharat Jesi Oil Deal Karni chahye. Jis Say Pakistan Kay Foreign Exchange Par Dabao Kam Ho Ga Aur Russia Say Taaluqat Bhi Bahtar Hon Gay.

Ab Zara India Russia Oil Deal Par Baat Karain Tou, In 2 Mulkon Ka Taaluq Aik deal Say Kaheen Ziada Hay.

Bharat China Kay Baad Russia Kay Oil Ka Sab Say Bara Kharidar Hay. Bharat Apni Zaruryat Ka 23% Oil Russia Say Khareed Raha Hay Ju Jang say Pahlay 2% Tha.

Bharat Kay Wazir-e-Kharja Subrahmanyam Jaishankar Ka Kahna Hay Kay Russia Say Rupee-Ruble Tijarat Ko Mazeed Barhana Chahtay Hain. US Aur Dusray Mumalik Ki Taraf Say Dabao Kay Jawab Main Bharti Wazeer-e-Kharja Ka Kehna Hay Kay Woh Apnay Faisaly Mulki Mafad Main Karain Gay.

International Media Kay Mutabiq Bharat Russia Say May Main Aik Barrel Par 16 Dollar Ka Discount Lay Raha Tha Ju Is Waqat 30 Dollar Fi Barrel Tak Pohanch Chuka Hay.

Udhar Russia Bharati Adwiyat Ka Chotha Bara Importer Hay. Jab Kay India Russian Difai Saz o Saman Ka Aik Bara Importer Hay.

Is Sari Surat-e-Haal Main Pakistan Kay Pas Russia Kay Sath Deal Karnay Kay Liye Kia Kia Hay?

Pakistan Russia Kay Sath Bharat Ki Tarah Rupee-Ruble Tijarat Ko Bhi Farogh Day Sakta Ha,  Jaisay Ham China Say Rupee-Yuan Tijarat Barhanay Ki Koshish Kar Rahay Hain.

Russia Ko China Say Baat Kar Kay CPEC Main Shamil Bhi Kia Ja Sakta Hay.

Pakistan Ko Bhi Bharat Ki Tarah Sab Say Pahlay Pakistan Ka Sochna Hoga. Apni Sifarti Azadi Ka Ziada Say Ziada Istemal Kartay Huye Russia Kay Sath Taluqaat Ko Naye Siray Say Naye Taqazon Par Khara Karna Hoga. Mulki Haqeeqi Azadi Ki Taraf Ye Aik Aham Paish Rafat Ho Sakti Hay.

   

شیئر

جواب لکھیں